Sauda-e-ishq Ke To KHata-war Hum Nahin, Urdu Ghazal By Seema Gupta

Sauda-e-ishq Ke To KHata-war Hum Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Seema Gupta. Sauda-e-ishq Ke To KHata-war Hum Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sauda-e-ishq Ke To KHata-war Hum Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سودائے عشق کے تو خطاوار ہم نہیں

سیما گپتا

سودائے عشق کے تو خطاوار ہم نہیں

ہیں عشق کے مریض گنہ گار ہم نہیں

ہم جو کھٹک رہے تھے تمہاری نگاہ میں

لو اب تمہاری راہ میں دیوار ہم نہیں

اس کی خوشی کے واسطے خود کو فنا کیا

پھر بھی وہ کہہ رہا ہے وفادار ہم نہیں

دل میں ہمارے ایک تلاطم سا ہے بپا

خاموش ہیں کہ زینت اخبار ہم نہیں

تنہائیوں کی ہم نے ہی دنیا بسائی ہے

گوشے میں خود کے ہیں سر بازار ہم نہیں

صحرا کے گرد و گرم ہی اب راس آ گئے

سیماؔ کسی چمن کے روادار ہم نہیں

سیما گپتا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sauda-e-ishq Ke To KHata-war Hum Nahin

Seema Gupta

sauda-e-ishq ke to KHata-war hum nahin
hain ishq ke mariz gunahgar hum nahin

hum jo khaTak rahe the tumhaari nigah mein
lo ab tumhaari rah mein diwar hum nahin

us ki KHushi ke waste KHud ko fana kiya
phir bhi wo kah raha hai wafadar hum nahin

dil mein hamare ek talatum sa hai bapa
KHamosh hain ki zinat-e-aKHbar hum nahin

tanhaiyon ki hum ne hi duniya basai hai
goshe mein KHud ke hain sar-e-bazar hum nahin

sahra ke gard-o-garm hi ab ras aa gae
'sima' kisi chaman ke rawadar hum nahin

(431) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sauda-e-ishq Ke To KHata-war Hum Nahin written by Seema Gupta at UrduPoint. Sauda-e-ishq Ke To KHata-war Hum Nahin is one of the masterpieces written by Seema Gupta. You can also find the complete poetry collection of Seema Gupta by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Seema Gupta' above.

Sauda-e-ishq Ke To KHata-war Hum Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sauda-e-ishq Ke To KHata-war Hum Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.