Meri Rifat Par Jo Hairan Hai To Hairani Nahin, Urdu Ghazal By Seemab Akbarabadi

Meri Rifat Par Jo Hairan Hai To Hairani Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Seemab Akbarabadi. Meri Rifat Par Jo Hairan Hai To Hairani Nahin comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Meri Rifat Par Jo Hairan Hai To Hairani Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میری رفعت پر جو حیراں ہے تو حیرانی نہیں

سیماب اکبرآبادی

میری رفعت پر جو حیراں ہے تو حیرانی نہیں

تو ابھی انسان کی عظمت کا عرفانی نہیں

اور یہ کیا ہے ضبط جو سوز پنہانی نہیں

آگ روشن دل میں ہے چہرے پہ تابانی نہیں

پھول کے پتے بکھر کر اک فسانہ کہہ گئے

جس کی ہو ترتیب ممکن وہ پریشانی نہیں

مجھ پر اک الزام ہے قید قفس وہ بھی غلط

جس کی نیت میں ہو آزادی وہ زندانی نہیں

جوش گریہ اس پر آہوں کی یہ سیلابی ہوا

کون سی ہے موج اشک ایسی جو طوفانی نہیں

راز یہ مجھ پر شکست غنچہ و گل سے کھلا

حسن بھی تو بے نیاز چاک دامانی نہیں

خواہشوں کے ساتھ اپنے نفس کو بھی کر فنا

زندگی میں اس سے بہتر کوئی قربانی نہیں

اتفاقات محبت نے یہ ثابت کر دیا

وہ بھی پیشانی میں ہے شاید جو پیش آنی نہیں

دولت کونین سے بھی ہے گراں تر اک سکوں

دل ہو مستغنی تو پروائے جہاں بانی نہیں

جاودانی ہوں میں اے دنیا پرستش کر مری

یہ مسلم ہے کہ تو فانی ہے میں فانی نہیں

حوصلوں کے ساتھ طے کر راہ دشوار حیات

حل تو ہوں گی مشکلیں لیکن بہ آسانی نہیں

دیکھ اے ساقی قناعت کی طرب افشانیاں

آب کوثر ہے کٹورے میں مرے پانی نہیں

ہے مری نظروں میں انجام بہار گلستاں

اب مرے سر میں ہوائے گل بدامانی نہیں

بہہ چکا ہے خون پانی کی طرح انسان کا

معتدل پھر بھی مزاج عالم فانی نہیں

کر نہ اے کنج لحد زحمت مرے آرام کی

میں مجاہد ہوں مجھے خوئے تن آسانی نہیں

کر رہا ہوں نظم اے سیمابؔ قرآن مجید

اور یہ کیا ہے اگر تائید یزدانی نہیں

سیماب اکبرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Rifat Par Jo Hairan Hai To Hairani Nahin

Seemab Akbarabadi

meri rifat par jo hairan hai to hairani nahin
tu abhi insan ki azmat ka irfani nahin

aur ye kya hai zabt jo soz-e-pinhani nahin
aag raushan dil mein hai chehre pe tabani nahin

phul ke patte bikhar kar ek fasana kah gae
jis ki ho tartib mumkin wo pareshani nahin

mujh par ek ilzam hai qaid-e-qafas wo bhi ghalat
jis ki niyat mein ho aazadi wo zindani nahin

josh-e-girya us par aahon ki ye sailabi hawa
kaun si hai mauj-e-ashk aisi jo tufani nahin

raaz ye mujh par shikast-e-ghuncha-o-gul se khula
husn bhi to be-niyaz-e-chaak-damani nahin

KHwahishon ke sath apne nafs ko bhi kar fana
zindagi mein is se behtar koi qurbani nahin

ittifaqat-e-mohabbat ne ye sabit kar diya
wo bhi peshani mein hai shayad jo pesh aani nahin

daulat-e-kaunain se bhi hai giran-tar ek sukun
dil ho mustaghni to parwa-e-jahanbani nahin

jawedani hun main ai duniya parastish kar meri
ye musallam hai ki tu fani hai main fani nahin

hauslon ke sath tai kar rah-e-dushwar-e-hayat
hal to hongi mushkilen lekin ba-asani nahin

dekh ai saqi qanaat ki tarab-afshaniyan
aab-e-kausar hai kaTore mein mere pani nahin

hai meri nazron mein anjam-e-bahaar-e-gulsitan
ab mere sar mein hawa-e-gul badamani nahin

bah chuka hai KHun pani ki tarah insan ka
mo'tadil phir bhi mizaj-e-alam-fani nahin

kar na ai kunj-e-lahad zahmat mere aaram ki
main mujahid hun mujhe KHu-e-tan-asani nahin

kar raha hun nazm ai 'simab' quran-e-majid
aur ye kya hai agar taid-e-yazdani nahin

(345) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri Rifat Par Jo Hairan Hai To Hairani Nahin written by Seemab Akbarabadi at UrduPoint. Meri Rifat Par Jo Hairan Hai To Hairani Nahin is one of the masterpieces written by Seemab Akbarabadi. You can also find the complete poetry collection of Seemab Akbarabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Seemab Akbarabadi' above.

Meri Rifat Par Jo Hairan Hai To Hairani Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri Rifat Par Jo Hairan Hai To Hairani Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.