Aansu Shoalon Mein Dhal Rahe Hain, Urdu Ghazal By Shaayar Lakhnavi

Aansu Shoalon Mein Dhal Rahe Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaayar Lakhnavi. Aansu Shoalon Mein Dhal Rahe Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aansu Shoalon Mein Dhal Rahe Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آنسو شعلوں میں ڈھل رہے ہیں

شاعر لکھنوی

آنسو شعلوں میں ڈھل رہے ہیں

غم دل کی فضا بدل رہے ہیں

گلشن ہے انہیں کا گل انہیں کے

کانٹوں پہ جو ہنس کے چل رہے ہیں

ایک ایک نفس میں روشنی ہے

یادوں کے چراغ جل رہے ہیں

چپ چپ سی ہے تلخیٔ زمانہ

غم جام و سبو میں ڈھل رہے ہیں

مٹ مٹ کے ابھر رہی ہے دنیا

بجھ بجھ کے چراغ جل رہے ہیں

اللہ رے اعتبار ہستی

ہم خواب میں جیسے چل رہے ہیں

اس سمت بھی گردش زمانہ

کچھ لوگ ابھی سنبھل رہے ہیں

ساحل پہ انہیں کا حق ہے شاعرؔ

طوفاں کا جو رخ بدل رہے ہیں

شاعر لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aansu Shoalon Mein Dhal Rahe Hain

Shaayar Lakhnavi

aansu shoalon mein Dhal rahe hain
gham dil ki faza badal rahe hain

gulshan hai unhin ka gul unhin ke
kanTon pe jo hans ke chal rahe hain

ek ek nafas mein raushni hai
yaadon ke charagh jal rahe hain

chup chup si hai talKHi-e-zamana
gham jam-o-subu mein Dhal rahe hain

miT miT ke ubhar rahi hai duniya
bujh bujh ke charagh jal rahe hain

allah re etibar-e-hasti
hum KHwab mein jaise chal rahe hain

is samt bhi gardish-e-zamana
kuchh log abhi sambhal rahe hain

sahil pe unhin ka haq hai 'shair'
tufan ka jo ruKH badal rahe hain

(517) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aansu Shoalon Mein Dhal Rahe Hain written by Shaayar Lakhnavi at UrduPoint. Aansu Shoalon Mein Dhal Rahe Hain is one of the masterpieces written by Shaayar Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Shaayar Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaayar Lakhnavi' above.

Aansu Shoalon Mein Dhal Rahe Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aansu Shoalon Mein Dhal Rahe Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.