Maine DhaDkan Suni Shajar Ki Raat, Urdu Ghazal By Shafaq Sopori

Maine DhaDkan Suni Shajar Ki Raat is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shafaq Sopori. Maine DhaDkan Suni Shajar Ki Raat comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Maine DhaDkan Suni Shajar Ki Raat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں نے دھڑکن سنی شجر کی رات

شفق سوپوری

میں نے دھڑکن سنی شجر کی رات

نیند پتوں نے بے خطر کی رات

اس نے رخصت کبھی نہ لینی تھی

وہ بھی مارا گیا سفر کی رات

بھونکتی رہتی ہے ستاروں پر

میرے اندر کسی کھنڈر کی رات

میں نے دیوانگی میں پھاڑے ہوئے

خیمۂ خاک میں بسر کی رات

دن تو لیکن کا ڈھل گیا صاحب

سامنے ہے اگر مگر کی رات

میں ہوں سیارۂ فلک بیزار

مجھ میں دن ہے کہاں کدھر کی رات

کھولتے لاوے پر گزاری ہے

ایک بجھتے ہوئے شرر کی رات

سنی دستک شفقؔ نہ خوابوں کی

ہائے مجھ شخص بے خبر کی رات

شفق سوپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Maine DhaDkan Suni Shajar Ki Raat

Shafaq Sopori

main ne dhaDkan suni shajar ki raat
nind patton ne be-KHatar ki raat

us ne ruKHsat kabhi na leni thi
wo bhi mara gaya safar ki raat

bhaunkti rahti hai sitaron par
mere andar kisi khanDar ki raat

main ne diwangi mein phaDe hue
KHema-e-KHak mein basar ki raat

din to lekin ka Dhal gaya sahab
samne hai agar magar ki raat

main hun sayyara-e-falak bezar
mujh mein din hai kahan kidhar ki raat

kholte lawe par guzari hai
ek bujhte hue sharar ki raat

suni dastak 'shafaq' na KHwabon ki
hae mujh shaKHs-e-be-KHabar ki raat

(545) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Maine DhaDkan Suni Shajar Ki Raat written by Shafaq Sopori at UrduPoint. Maine DhaDkan Suni Shajar Ki Raat is one of the masterpieces written by Shafaq Sopori. You can also find the complete poetry collection of Shafaq Sopori by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shafaq Sopori' above.

Maine DhaDkan Suni Shajar Ki Raat is a widely read Urdu Ghazal. If you like Maine DhaDkan Suni Shajar Ki Raat, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.