Phunki Gham-e-firaq Ne Ye Tan-badan Mein Aag, Urdu Ghazal By Shah Akbar Danapuri

Phunki Gham-e-firaq Ne Ye Tan-badan Mein Aag is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shah Akbar Danapuri. Phunki Gham-e-firaq Ne Ye Tan-badan Mein Aag comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Phunki Gham-e-firaq Ne Ye Tan-badan Mein Aag on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پھونکی غم فراق نے یہ تن بدن میں آگ

شاہ اکبر داناپوری

پھونکی غم فراق نے یہ تن بدن میں آگ

اب جسم کی جگہ ہے مرے پیرہن میں آگ

انگاروں پر لٹاتی ہے فرقت میں سیر باغ

ہو میرا اختیار تو دے دوں چمن میں آگ

ابر سیہ نہیں یہ دھواں ہے بھرا ہوا

کس نے لگا دی آج سپہر کہن میں آگ

کشتے ہیں تیرے رخ کے جو اے آتشیں عذار

لے جائیں گے وہ باندھ کے اپنے کفن میں آگ

رخصت ہوئی بہار خزاں کے دن آ گئے

اے باغباں لگا دے اب اپنے چمن میں آگ

صحرا ہماری گرمئ رفتار سے جلا

اپنے ہی سوز غم نے لگا دی چمن میں آگ

کس نے کیا ترے لب لعلیں کا تذکرہ

اہل یمن نے آج لگا دی یمن میں آگ

زلفوں سے یوں عیاں ہے ترا روئے آتشیں

جیسے لگی ہو وادیٔ چین و ختن میں آگ

اکبرؔ تری زبان ہے کیا شمع کی زبان

ہر فقرہ تیرا شعلہ ہے ہر ہر سخن میں آگ

شاہ اکبر داناپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Phunki Gham-e-firaq Ne Ye Tan-badan Mein Aag

Shah Akbar Danapuri

phunki gham-e-firaq ne ye tan-badan mein aag
ab jism ki jagah hai mere pairahan mein aag

angaron par liTati hai furqat mein sair-e-bagh
ho mera iKHtiyar to de dun chaman mein aag

abr-e-siyah nahin ye dhuan hai bhara hua
kis ne laga di aaj sipahr-e-kuhan mein aag

kushte hain tere ruKH ke jo ai aatishin-ezar
le jaenge wo bandh ke apne kafan mein aag

ruKHsat hui bahaar KHizan ke din aa gae
ai baghban laga de ab apne chaman mein aag

sahra hamari garmi-e-raftar se jala
apne hi soz-e-gham ne laga di chaman mein aag

kis ne kiya tere lab-e-lalin ka tazkira
ahl-e-yaman ne aaj laga di yaman mein aag

zulfon se yun ayan hai tera ru-e-atishin
jaise lagi ho wadi-e-chin-o-KHutan mein aag

'akbar' teri zaban hai kya shama ki zaban
har fiqra tera shoala hai har har suKHan mein aag

(608) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Phunki Gham-e-firaq Ne Ye Tan-badan Mein Aag written by Shah Akbar Danapuri at UrduPoint. Phunki Gham-e-firaq Ne Ye Tan-badan Mein Aag is one of the masterpieces written by Shah Akbar Danapuri. You can also find the complete poetry collection of Shah Akbar Danapuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shah Akbar Danapuri' above.

Phunki Gham-e-firaq Ne Ye Tan-badan Mein Aag is a widely read Urdu Ghazal. If you like Phunki Gham-e-firaq Ne Ye Tan-badan Mein Aag, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.