Gharq Na Kar Dikhla Kar Dil Ko Kan Ka Baala Zulf Ka Halqa, Urdu Ghazal By Shah Naseer

Gharq Na Kar Dikhla Kar Dil Ko Kan Ka Baala Zulf Ka Halqa is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shah Naseer. Gharq Na Kar Dikhla Kar Dil Ko Kan Ka Baala Zulf Ka Halqa comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gharq Na Kar Dikhla Kar Dil Ko Kan Ka Baala Zulf Ka Halqa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غرق نہ کر دکھلا کر دل کو کان کا بالا زلف کا حلقہ

شاہ نصیر

غرق نہ کر دکھلا کر دل کو کان کا بالا زلف کا حلقہ

بحر حسن کے ہیں یہ بھنور دو کان کا بالا زلف کا حلقہ

ہالۂ مہ پہنچے ہے نہ اس کو نے خط ساغر اس کو لگے ہے

آئینہ تم لے کر دیکھو کان کا بالا زلف کا حلقہ

آہوئے دل اور طائر جاں کے حق میں یہ دونوں پھندے ہیں

ہم کو دکھا کر تم نہ چھپاؤ کان کا بالا زلف کا حلقہ

آج سوائے شانے کے یاں کس کا منہ ہے کون ہے ایسا

چھوڑے تمہارے چہرے پر جو کان کا بالا زلف کا حلقہ

دونوں تیرے عارض پر دن رات ملے یہ رہتے ہیں

عینک مہر و ماہ نہ کیوں ہو کان کا بالا زلف کا حلقہ

طیش زنی میں یہ عقرب ہے کالا ہے وہ کنڈلی مارے

حضرت دل باز آؤ نہ چھیڑو کان کا بالا زلف کا حلقہ

کس کو حصار حسن کہوں میں کس کو خط پرکار کہے دل

منہ سے الٹ برقع کو دکھا دو کان کا بالا زلف کا حلقہ

یہ ترے رخ کے بوسے لیں اور ترسیں مری آنکھیں اے وائے

دیکھ کے کیوں رشک آئے نہ مجھ کو کان کا بالا زلف کا حلقہ

آج زلیخا گر یہاں ہوتی دام کمند و چاہ میں پھنستی

دیکھ مرے یوسف کا عزیزو کان کا بالا زلف کا حلقہ

کیونکہ نصیرؔ ارباب سخن تحسیں نہ کریں سن کر یہ غزل

جبکہ تم اس صورت سے باندھو کان کا بالا زلف کا حلقہ

شاہ نصیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gharq Na Kar Dikhla Kar Dil Ko Kan Ka Baala Zulf Ka Halqa

Shah Naseer

gharq na kar dikhla kar dil ko kan ka baala zulf ka halqa
bahr-e-husn ke hain ye bhanwar do kan ka baala zulf ka halqa

haala-e-mah pahunche hai nuh us ko nai KHat-e-saghar us ko lage hai
aaina tum le kar dekho kan ka baala zulf ka halqa

aahu-e-dil aur tair-e-jaan ke haq mein ye donon phande hain
hum ko dikha kar tum na chhupao kan ka baala zulf ka halqa

aaj siwae shane ke yan kis ka munh hai kaun hai aisa
chhoDe tumhaare chehre par jo kan ka baala zulf ka halqa

donon tere aariz par din raat mile ye rahte hain
ainak-e-mahr-o-mah na kyun ho kan ka baala zulf ka halqa

taish-zani mein ye aqrab hai kala hai wo kunDli mare
hazrat-e-dil baz aao na chheDo kan ka baala zulf ka halqa

kis ko hisar-e-husn kahun main kis ko KHat-e-parkar kahe dil
munh se ulaT burqa ko dikha do kan ka baala zulf ka halqa

ye tere ruKH ke bose len aur tarsen meri aankhen ai wae
dekh ke kyun rashk aae na mujh ko kan ka baala zulf ka halqa

aaj zuleKHa gar yahan hoti dam-e-kamand-o-chah mein phansti
dekh mere yusuf ka azizo kan ka baala zulf ka halqa

kyunki 'nasir' arbab-e-suKHan tahsin na karen sun kar ye ghazal
jabki tum is surat se bandho kan ka baala zulf ka halqa

(343) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gharq Na Kar Dikhla Kar Dil Ko Kan Ka Baala Zulf Ka Halqa written by Shah Naseer at UrduPoint. Gharq Na Kar Dikhla Kar Dil Ko Kan Ka Baala Zulf Ka Halqa is one of the masterpieces written by Shah Naseer. You can also find the complete poetry collection of Shah Naseer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shah Naseer' above.

Gharq Na Kar Dikhla Kar Dil Ko Kan Ka Baala Zulf Ka Halqa is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gharq Na Kar Dikhla Kar Dil Ko Kan Ka Baala Zulf Ka Halqa, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.