Saz-e-umid ChheD Kar Taron Ki Tharthari Na Dekh, Urdu Ghazal By Shahab Sarmadi

Saz-e-umid ChheD Kar Taron Ki Tharthari Na Dekh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahab Sarmadi. Saz-e-umid ChheD Kar Taron Ki Tharthari Na Dekh comes under the Social, Hope category of Urdu Ghazal. You can read Saz-e-umid ChheD Kar Taron Ki Tharthari Na Dekh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ساز امید چھیڑ کر تاروں کی تھرتھری نہ دیکھ

شہاب سرمدی

ساز امید چھیڑ کر تاروں کی تھرتھری نہ دیکھ

راز شکستگی سمجھ رنگ شکستگی نہ دیکھ

خندۂ بے ضرر کہاں غنچہ و گل سے درس لے

فطرت زندگی پہ جا عشرت زندگی نہ دیکھ

ہوگی فضائے آشیاں سوز چمن سے سازگار

برق گداز بن کے جی برق کی برہمی نہ دیکھ

سود و زیاں کے مرحلے بچ اگر ان سے بچ سکے

اپنے سے کچھ کمی نہ کر اور کوئی کمی نہ دیکھ

چاند ہے تیرا ہم سفر کوئی نہیں ہے راہبر

آگے قدم بڑھا کے رکھ دور کی روشنی نہ دیکھ

تو ہی اگر سبک نہ ہو تیرے سوا ہے ماسوا

اپنی فروتنی نباہ غیر کی برتری نہ دیکھ

کچھ بھی نہیں یہ اونچ نیچ دامن اعتبار کھینچ

عزت آدمی کو تول قیمت آدمی نہ دیکھ

اپنے مقام پر سنبھل چل تو یگانہ وار چل

دولت دوستی سمیٹ جانب دشمنی نہ دیکھ

عقل کی منزلت کے ساتھ عقل کی منزلیں بھی ہیں

علم کی عصمتیں بچا جہل کی ابتری نہ دیکھ

اپنے نظام سے الجھ صبح سے شام سے الجھ

آفت بے زری کو جان لعنت بے زری نہ دیکھ

تو نے مگر شہابؔ کے شعر سنے بھی ہوں کبھی

عظمت شاعری کو لے شہرت شاعری نہ دیکھ

شہاب سرمدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Saz-e-umid ChheD Kar Taron Ki Tharthari Na Dekh

Shahab Sarmadi

saz-e-umid chheD kar taron ki tharthari na dekh
raaz-e-shikastagi samajh rang-e-shikastagi na dekh

KHanda-e-be-zarar kahan ghuncha-o-gul se dars le
fitrat-e-zindagi pe ja ishrat-e-zindagi na dekh

hogi faza-e-ashiyan soz-e-chaman se sazgar
barq-gudaz ban ke ji barq ki barhami na dekh

sud-o-ziyan ke marhale bach agar in se bach sake
apne se kuchh kami na kar aur koi kami na dekh

chand hai tera ham-safar koi nahin hai rahbar
aage qadam baDha ke rakh dur ki raushni na dekh

tu hi agar subuk na ho tere siwa hai ma-siwa
apni farotani nibah ghair ki bartari na dekh

kuchh bhi nahin ye unch-nich daman-e-e'tibar khinch
izzat-e-admi ko taul qimat-e-admi na dekh

apne maqam par sanbhal chal to yagana-war chal
daulat-e-dosti sameT jaanib-e-dushmani na dekh

aql ki manzilat ke sath aql ki manzilen bhi hain
ilm ki ismaten bacha jahl ki abtari na dekh

apne nizam se ulajh subh se sham se ulajh
aafat-e-be-zari ko jaan lanat be-zari na dekh

tu ne magar 'shahab' ke sher sune bhi hon kabhi
azmat-e-shairi ko le shohrat-e-shairi na dekh

(693) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Saz-e-umid ChheD Kar Taron Ki Tharthari Na Dekh written by Shahab Sarmadi at UrduPoint. Saz-e-umid ChheD Kar Taron Ki Tharthari Na Dekh is one of the masterpieces written by Shahab Sarmadi. You can also find the complete poetry collection of Shahab Sarmadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahab Sarmadi' above.

Saz-e-umid ChheD Kar Taron Ki Tharthari Na Dekh is a widely read Urdu Ghazal. If you like Saz-e-umid ChheD Kar Taron Ki Tharthari Na Dekh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.