Dayar-e-sham Na Burj-e-saher Mein Raushan Hun, Urdu Ghazal By Shahbaz Nadeem Ziai

Dayar-e-sham Na Burj-e-saher Mein Raushan Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahbaz Nadeem Ziai. Dayar-e-sham Na Burj-e-saher Mein Raushan Hun comes under the Social, Hope category of Urdu Ghazal. You can read Dayar-e-sham Na Burj-e-saher Mein Raushan Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دیار شام نہ برج سحر میں روشن ہوں

شہباز ندیم ضیائی

دیار شام نہ برج سحر میں روشن ہوں

میں ایک عمر سے اپنے ہی گھر میں روشن ہوں

ہجوم شب زدگاں سے فرار ہو کر آج

جمال شعلۂ شمع سحر میں روشن ہوں

میں منتظر ہوں تو پھر منتظر بھی آئے گا

چراغ جاں کی طرح رہگزر میں روشن ہوں

نہ جانے کب مری ہستی دھواں دھواں ہو جائے

میں ایک ساعت نا معتبر میں روشن ہوں

مرے حریف سخن کچھ تجھے خبر بھی ہے

ترے سبب سے حصار ہنر میں روشن ہوں

نظام گردش دوراں مرا مقدر ہے

میں اک ستارے کی صورت سفر میں روشن ہوں

اکیلا جان کے خود کو نہ ہو اداس کہ میں

مثال اشک تری چشم تر میں روشن ہوں

مجھے تلاش نہ کر میری ذات میں شہبازؔ

بہت دنوں سے جہان دگر میں روشن ہوں

شہباز ندیم ضیائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dayar-e-sham Na Burj-e-saher Mein Raushan Hun

Shahbaz Nadeem Ziai

dayar-e-sham na burj-e-saher mein raushan hun
main ek umr se apne hi ghar mein raushan hun

hujum-e-shab-zadgan se farar ho kar aaj
jamal-e-shola-e-sham-e-saher mein raushan hun

main muntazir hun to phir muntazar bhi aaega
charagh-e-jaan ki tarah rah-guzar mein raushan hun

na jaane kab meri hasti dhuan dhuan ho jae
main ek saat-e-na-motabar mein raushan hun

mere harif-e-suKHan kuchh tujhe KHabar bhi hai
tere sabab se hisar-e-hunar mein raushan hun

nizam-e-gardish-e-dauran mera muqaddar hai
main ek sitare ki surat safar mein raushan hun

akela jaan ke KHud ko na ho udas ki main
misal-e-ashk teri chashm-e-tar mein raushan hun

mujhe talash na kar meri zat mein 'shahbaz'
bahut dinon se jahan-e-digar mein raushan hun

(685) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dayar-e-sham Na Burj-e-saher Mein Raushan Hun written by Shahbaz Nadeem Ziai at UrduPoint. Dayar-e-sham Na Burj-e-saher Mein Raushan Hun is one of the masterpieces written by Shahbaz Nadeem Ziai. You can also find the complete poetry collection of Shahbaz Nadeem Ziai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahbaz Nadeem Ziai' above.

Dayar-e-sham Na Burj-e-saher Mein Raushan Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dayar-e-sham Na Burj-e-saher Mein Raushan Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.