Raqs Karte Hue Nazare Hain Sath Mein Chand Hai Sitare Hain, Urdu Ghazal By Shahbaz Rizvi

Raqs Karte Hue Nazare Hain Sath Mein Chand Hai Sitare Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahbaz Rizvi. Raqs Karte Hue Nazare Hain Sath Mein Chand Hai Sitare Hain comes under the Social, Hope category of Urdu Ghazal. You can read Raqs Karte Hue Nazare Hain Sath Mein Chand Hai Sitare Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رقص کرتے ہوئے نظارے ہیں ساتھ میں چاند ہے ستارے ہیں

شہباز رضوی

رقص کرتے ہوئے نظارے ہیں ساتھ میں چاند ہے ستارے ہیں

آنکھ میں روشنی کے دھارے ہیں ساتھ میں چاند ہے ستارے ہیں

اس تسلسل میں اس روانی میں لاش ٹھہری ہوئی ہے پانی میں

بلبلیں ہاتھ پاؤں مارے ہیں ساتھ میں چاند ہے ستارے ہیں

ان کی آنکھوں میں خواب دنیا ہے رخ ہے یا آفتاب دنیا ہے

میری آنکھوں میں بس شرارے ہیں ساتھ میں چاند ہے ستارے ہیں

گردش وقت کا وجود وہ خواب اپنی خاطر ہے ہست و بود وہ خواب

تم ہمارے ہو ہم تمہارے ہیں ساتھ میں چاند ہے ستارے ہیں

سارے غم خوار ہیں چراغوں کے سب عزادار ہیں چراغوں کے

صبح سے ہم بھی جنگ ہارے ہیں ساتھ میں چاند ہیں ستارے ہیں

روشنی کب مجھے میسر ہے تیرگی ہی مرا مقدر ہے

یوں تو جگنو بھی ڈھیر سارے ہیں ساتھ میں چاند ہے ستارے ہیں

دل میں امید وصل جاگی ہے آرزو ننگے پاؤں بھاگی ہے

آسماں میں کچھ ابر پارے ہیں ساتھ میں چاند ہے ستارے ہیں

زندگی خواہشوں کے ملبے سے دے رہی ہے ہمیں صدا شہبازؔ

ہم کسی جھیل کے کنارے ہیں ساتھ میں چاند ہے ستارے ہیں

شہباز رضوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raqs Karte Hue Nazare Hain Sath Mein Chand Hai Sitare Hain

Shahbaz Rizvi

raqs karte hue nazare hain sath mein chand hai sitare hain
aankh mein raushni ke dhaare hain sath mein chand hai sitare hain

is tasalsul mein is rawani mein lash Thahri hui hai pani mein
bulbulen hath panw mare hain sath mein chand hai sitare hain

un ki aankhon mein KHwab-e-duniya hai ruKH hai ya aaftab-e-duniya hai
meri aankhon mein bas sharare hain sath mein chand hai sitare hain

gardish-e-waqt ka wajud wo KHwab apni KHatir hai hast-o-bud wo KHwab
tum hamare ho hum tumhaare hain sath mein chand hai sitare hain

sare gham-KHwar hain charaghon ke sab azadar hain charaghon ke
subh se hum bhi jang haare hain sath mein chand hain sitare hain

raushni kab mujhe mayassar hai tirgi hi mera muqaddar hai
yun to jugnu bhi Dher sare hain sath mein chand hai sitare hain

dil mein ummid-e-wasl jagi hai aarzu nange panw bhagi hai
aasman mein kuchh abr-pare hain sath mein chand hai sitare hain

zindagi KHwahishon ke malbe se de rahi hai hamein sada 'shahbaz'
hum kisi jhil ke kinare hain sath mein chand hai sitare hain

(662) ووٹ وصول ہوئے

You can read Raqs Karte Hue Nazare Hain Sath Mein Chand Hai Sitare Hain written by Shahbaz Rizvi at UrduPoint. Raqs Karte Hue Nazare Hain Sath Mein Chand Hai Sitare Hain is one of the masterpieces written by Shahbaz Rizvi. You can also find the complete poetry collection of Shahbaz Rizvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahbaz Rizvi' above.

Raqs Karte Hue Nazare Hain Sath Mein Chand Hai Sitare Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raqs Karte Hue Nazare Hain Sath Mein Chand Hai Sitare Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.