Mere Pahlu Mein Hai Wo Rashk-e-qamar Aaj Ki Raat, Urdu Ghazal By Shaheer Machlishahri

Mere Pahlu Mein Hai Wo Rashk-e-qamar Aaj Ki Raat is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaheer Machlishahri. Mere Pahlu Mein Hai Wo Rashk-e-qamar Aaj Ki Raat comes under the Love, Hope category of Urdu Ghazal. You can read Mere Pahlu Mein Hai Wo Rashk-e-qamar Aaj Ki Raat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میرے پہلو میں ہے وہ رشک قمر آج کی رات

شہیر مچھلی شہری

میرے پہلو میں ہے وہ رشک قمر آج کی رات

جا کے غیروں میں رہے درد جگر آج کی رات

نیند کا وصل میں ہوگا نہ گزر آج کی رات

رت جگا آ کے کرے گی مرے گھر آج کی رات

کس کے گھر جائے گا وہ رشک قمر آج کی رات

چاند نکلے گا خدا جانے کدھر آج کی رات

یہ شب وصل شب ہجر سے یا رب بڑھ جائے

روز فردا کی کبھی ہو نہ سحر آج کی رات

زلف کی آڑ میں دل لے اڑی شوخئ نگاہ

پا گئی ڈھونڈھتی تھی جس کو نظر آج کی رات

کٹنے والی نظر آتی نہیں یہ ہجر کی شب

ہو نہیں سکتی کسی طرح بسر آج کی رات

نہ کسی سمت سے آواز اذاں آتی ہے

بولتا ہے نہ کہیں مرغ سحر آج کی رات

رخصت اے زیست کہ شام شب غم آتی ہے

اپنا اس دار فنا سے ہے سفر آج کی رات

زندگانی کا نتیجہ ہے یہی مدت وصل

حاصل عمر ہیں یہ چار پہر آج کی رات

شہیر مچھلی شہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mere Pahlu Mein Hai Wo Rashk-e-qamar Aaj Ki Raat

Shaheer Machlishahri

mere pahlu mein hai wo rashk-e-qamar aaj ki raat
ja ke ghairon mein rahe dard-e-jigar aaj ki raat

nind ka wasl mein hoga na guzar aaj ki raat
rat-jaga aa ke karegi mere ghar aaj ki raat

kis ke ghar jaega wo rashk-e-qamar aaj ki raat
chand niklega KHuda jaane kidhar aaj ki raat

ye shab-e-wasl shab-e-hijr se ya-rab baDh jae
roz farda ki kabhi ho na sahar aaj ki raat

zulf ki aaD mein dil le uDi shoKHi-e-nigah
pa gai DhunDhti thi jis ko nazar aaj ki raat

kaTne wali nazar aati nahin ye hijr ki shab
ho nahin sakti kisi tarah basar aaj ki raat

na kisi samt se aawaz-e-azan aati hai
bolta hai na kahin murgh-e-sahar aaj ki raat

ruKHsat ai zist ki sham-e-shab-e-gham aati hai
apna is dar-e-fana se hai safar aaj ki raat

zindagani ka natija hai yahi muddat-e-wasl
hasil-e-umr hain ye chaar pahar aaj ki raat

(685) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mere Pahlu Mein Hai Wo Rashk-e-qamar Aaj Ki Raat written by Shaheer Machlishahri at UrduPoint. Mere Pahlu Mein Hai Wo Rashk-e-qamar Aaj Ki Raat is one of the masterpieces written by Shaheer Machlishahri. You can also find the complete poetry collection of Shaheer Machlishahri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaheer Machlishahri' above.

Mere Pahlu Mein Hai Wo Rashk-e-qamar Aaj Ki Raat is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mere Pahlu Mein Hai Wo Rashk-e-qamar Aaj Ki Raat, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.