Ujle Moti Humne Mange The Kisi Se Thaal Bhar, Urdu Ghazal By Shahid Meer

Ujle Moti Humne Mange The Kisi Se Thaal Bhar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahid Meer. Ujle Moti Humne Mange The Kisi Se Thaal Bhar comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ujle Moti Humne Mange The Kisi Se Thaal Bhar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اجلے موتی ہم نے مانگے تھے کسی سے تھال بھر

شاہد میر

اجلے موتی ہم نے مانگے تھے کسی سے تھال بھر

اور اس نے دے دئیے آنسو ہمیں رومال بھر

جس قدر پودے کھڑے تھے رہ گئے ہیں ڈال بھر

دھوپ نے پھر بھی رویے کو نہ بدلا بال بھر

یوں لگا آکاش جیسے مٹھیوں میں بھر لیا

میرے قبضے میں پرندے آ گئے جب جال بھر

اس کی آنکھوں کا بیاں اس کے سوا کیا کیجیے

وسعتیں آکاش سی گہرائیاں پاتال بھر

چھوڑ آئے جب سے ہم کالج کی شاہدؔ نوکری

چھٹیوں کے منتظر رہنے لگے ہیں سال بھر

شاہد میر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ujle Moti Humne Mange The Kisi Se Thaal Bhar

Shahid Meer

ujle moti hum ne mange the kisi se thaal bhar
aur us ne de diye aansu hamein rumal bhar

jis qadar paude khaDe the rah gae hain Dal bhar
dhup ne phir bhi rawayye ko na badla baal bhar

yun laga aakash jaise muTThiyon mein bhar liya
mere qabze mein parinde aa gae jab jal bhar

us ki aankhon ka bayan us ke siwa kya kijiye
wusaten aakash si gahraiyan patal bhar

chhoD aae jab se hum college ki 'shahid' naukri
chhuTTiyon ke muntazir rahne lage hain sal bhar

(461) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ujle Moti Humne Mange The Kisi Se Thaal Bhar written by Shahid Meer at UrduPoint. Ujle Moti Humne Mange The Kisi Se Thaal Bhar is one of the masterpieces written by Shahid Meer. You can also find the complete poetry collection of Shahid Meer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahid Meer' above.

Ujle Moti Humne Mange The Kisi Se Thaal Bhar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ujle Moti Humne Mange The Kisi Se Thaal Bhar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.