Roz Main Ek Shajar Se Milta Hun, Urdu Ghazal By Shahrukh Abeer

Roz Main Ek Shajar Se Milta Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahrukh Abeer. Roz Main Ek Shajar Se Milta Hun comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Roz Main Ek Shajar Se Milta Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

روز میں اک شجر سے ملتا ہوں

شاہ رخ عبیر

روز میں اک شجر سے ملتا ہوں

زندگی کیا بھنور سے ملتا ہوں

اس سے پہلے اداسی چھا جائے

میں خوشی کی خبر سے ملتا ہوں

عشق میں کون دل جلائے اب

وجد میں اک سفر سے ملتا ہوں

شہر امید مجھ سے واقف ہے

اس لئے کر و فر سے ملتا ہوں

میں ہوں اک حادثہ گئی رت کا

قصۂ معتبر سے ملتا ہوں

کوستی رہ گئی زمیں مجھ کو

روز زیر و زبر سے ملتا ہوں

میں کہ بیمار دل نہیں لیکن

روز اک چارہ گر سے ملتا ہوں

شاہ رخ عبیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Roz Main Ek Shajar Se Milta Hun

Shahrukh Abeer

roz main ek shajar se milta hun
zindagi kya bhanwar se milta hun

is se pahle udasi chha jae
main KHushi ki KHabar se milta hun

ishq mein kaun dil jalae ab
wajd mein ek safar se milta hun

shahr-e-ummid mujh se waqif hai
is liye karr-o-far se milta hun

main hun ek hadisa gai rut ka
qissa-e-motabar se milta hun

kosti rah gai zamin mujh ko
roz zer-o-zabar se milta hun

main ki bimar dil nahin lekin
roz ek chaaragar se milta hun

(419) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Roz Main Ek Shajar Se Milta Hun written by Shahrukh Abeer at UrduPoint. Roz Main Ek Shajar Se Milta Hun is one of the masterpieces written by Shahrukh Abeer. You can also find the complete poetry collection of Shahrukh Abeer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahrukh Abeer' above.

Roz Main Ek Shajar Se Milta Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Roz Main Ek Shajar Se Milta Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.