Muntazir Tha Ek Muddat Se Zamana Aap Ka, Urdu Naat By Shakeel Ibn E Sharf

Muntazir Tha Ek Muddat Se Zamana Aap Ka is a famous Urdu Naat written by a famous poet, Shakeel Ibn E Sharf. Muntazir Tha Ek Muddat Se Zamana Aap Ka comes under the Islamic category of Urdu Naat. You can read Muntazir Tha Ek Muddat Se Zamana Aap Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

منتظر تھا ایک مدت سے زمانہ آپ کا

شکیل ابن شرف

منتظر تھا ایک مدت سے زمانہ آپ کا

خیر مقدم کیوں نہ ہوتا والہانہ آپ کا

چاند تارے کر رہے ہیں مدح خوانی آپ کی

لالہ و گل کی زباں پر ہے ترانہ آپ کا

نور کے سانچے میں ڈھل کر نور پھیلانے لگیں

جب پڑا تاریکیوں پر تازیانہ آپ کا

چاند پر پڑتی ہے آقا جب کبھی میری نظر

یاد آتا ہے مجھے انگلی اٹھانا آپ کا

تب سے پھولوں کو تقدس کا لبادہ مل گیا

جب سے دیکھا گلستاں نے مسکرانا آپ کا

فیض پایا ہے سبھی نے آپ کی تعلیم سے

کیوں نہ گرویدہ رہے سارا زمانہ آپ کا

روضۂ اقدس پہ آکر کیوں نہ ٹھہریں قافلے

باعث تسکین دل ہے آستانہ آپ کا

آپ کے گھر سے چلا ہے انکساری کا چلن

سب سے عالی سب سے افضل ہے گھرانا آپ کا

اپنے بندوں پر ہے کتنا مہرباں رب کریم

اک ثبوت اس کا ہے رحمت بن کے آنا آپ کا

دیکھتا رہتا ہے حسرت سے زمیں کو آسماں

منبع انوار رحمت ہے ٹھکانہ آپ کا

حکمرانی آپ نے کی بوریے پر بیٹھ کر

خوب تھا انداز آقا خسروانہ آپ کا

ہے شکیل ابن شرفؔ کے دل میں بس یہ آرزو

حشر میں دنیا کہے اس کو دوانہ آپ کا

شکیل ابن شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Muntazir Tha Ek Muddat Se Zamana Aap Ka

Shakeel Ibn E Sharf

muntazir tha ek muddat se zamana aap ka
KHair-maqdam kyon na hota walihana aap ka

chand tare kar rahe hain madh-KHwani aap ki
lala-o-gul ki zaban par hai tarana aap ka

nur ke sanche mein Dhal kar nur phailane lagin
jab paDa tarikiyon par taziyana aap ka

chand par paDti hai aaqa jab kabhi meri nazar
yaad aata hai mujhe ungli uThana aap ka

tab se phulon ko taqaddus ka labaada mil gaya
jab se dekha gulsitan ne muskurana aap ka

faiz paya hai sabhi ne aap ki talim se
kyon na girwida rahe sara zamana aap ka

rauza-e-aqdas pe aakar kyon na Thahren qafile
bais-e-taskin-e-dil hai aastana aap ka

aap ke ghar se chala hai inkisari ka chalan
sab se aali sab se afzal hai gharana aap ka

apne bandon par hai kitna mehrban rabb-e-karim
ek subut is ka hai rahmat ban ke aana aap ka

dekhta rahta hai hasrat se zamin ko aasman
mamba-e-anwar-e-rahmat hai Thikana aap ka

hukmrani aap ne ki boriye par baiTh kar
KHub tha andaz aaqa KHusrawana aap ka

hai 'shakil-ibn-e-sharaf' ke dil mein bas ye aarzu
hashr mein duniya kahe is ko diwana aap ka

(2469) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Muntazir Tha Ek Muddat Se Zamana Aap Ka written by Shakeel Ibn E Sharf at UrduPoint. Muntazir Tha Ek Muddat Se Zamana Aap Ka is one of the masterpieces written by Shakeel Ibn E Sharf. You can also find the complete poetry collection of Shakeel Ibn E Sharf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shakeel Ibn E Sharf' above.

Muntazir Tha Ek Muddat Se Zamana Aap Ka is a widely read Urdu Naat. If you like Muntazir Tha Ek Muddat Se Zamana Aap Ka, you will also like to read other famous Urdu Naat.

You can also read Islamic Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.