LaDakpan Ki Yaad, Urdu Nazam By Shamim Karhani

LaDakpan Ki Yaad is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shamim Karhani. LaDakpan Ki Yaad comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read LaDakpan Ki Yaad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

لڑکپن کی یاد

شمیم کرہانی

تو مجھ کو ہم نشیں اپنا لڑکپن یاد آتا ہے

کبھی خالی کلاسوں میں جو بچے غل مچاتے ہیں

کسی انجان شاعر کی غزل مل جل کے گاتے ہیں

خوشی سے ناچتے ہیں ڈیسک پر طبلہ بجاتے ہیں

تو مجھ کو ہم نشیں اپنا لڑکپن یاد آتا ہے

ہوا کرتی ہے جب چھٹی تو چنچل سرپھرے خود سر

لئے ہاتھوں میں بستے مارتے فٹ بال کو ٹھوکر

اچھلتے کودتے بچے نظر آتے ہیں سڑکوں پر

تو مجھ کو ہم نشیں اپنا لڑکپن یاد آتا ہے

کبھی اس شاخ سے اس شاخ پر بچے اچھلتے ہیں

کبھی شاخوں پہ جھولے ڈال کر ظالم مچلتے ہیں

سماں یہ دیکھ کر ماں باپ کے سینے دہلتے ہیں

تو مجھ کو ہم نشیں اپنا لڑکپن یاد آتا ہے

کوئی شاگرد جب ساتھی کو اپنے گدگداتا ہے

وہ ساتھی ہو کے عاجز سامنے فریاد لاتا ہے

کلاس اس بے بسی پر چپکے چپکے مسکراتا ہے

تو مجھ کو ہم نشیں اپنا لڑکپن یاد آتا ہے

ہزاروں شوخیاں ہوتی ہیں بچپن کے زمانے میں

چبھو کر پن کوئی بچہ کسی بچے کے شانے میں

ہوا کرتا ہے جب مشغول طنزاً مسکرانے میں

تو مجھ کو ہم نشیں اپنا لڑکپن یاد آتا ہے

شمیم کرہانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

LaDakpan Ki Yaad

Shamim Karhani

to mujh ko ham-nashin apna laDakpan yaad aata hai
kabhi KHali classon mein jo bachche ghul machate hain
kisi anjaan shair ki ghazal mil jul ke gate hain
KHushi se nachte hain desk par tabla bajate hain
to mujh ko ham-nashin apna laDakpan yaad aata hai
hua karti hai jab chhuTTi to chanchal sar-phire KHud-sar
liye hathon mein baste marte footbaal ko Thokar
uchhalte kudte bachche nazar aate hain saDkon par
to mujh ko ham-nashin apna laDakpan yaad aata hai
kabhi is shaKH se us shaKH par bachche uchhalte hain
kabhi shaKHon pe jhule Dal kar zalim machalte hain
saman ye dekh kar man bap ke sine dahalte hain
to mujh ko ham-nashin apna laDakpan yaad aata hai
koi shagird jab sathi ko apne gudgudata hai
wo sathi ho ke aajiz samne fariyaad lata hai
class us bebasi par chupke chupke muskuraata hai
to mujh ko ham-nashin apna laDakpan yaad aata hai
hazaron shoKHiyan hoti hain bachpan ke zamane mein
chubho kar pin koi bachcha kisi bachche ke shane mein
hua karta hai jab mashghul tanzan muskurane mein
to mujh ko ham-nashin apna laDakpan yaad aata hai

(460) ووٹ وصول ہوئے

You can read LaDakpan Ki Yaad written by Shamim Karhani at UrduPoint. LaDakpan Ki Yaad is one of the masterpieces written by Shamim Karhani. You can also find the complete poetry collection of Shamim Karhani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shamim Karhani' above.

LaDakpan Ki Yaad is a widely read Urdu Nazam. If you like LaDakpan Ki Yaad, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.