Muhajir Parinde Ka Safar, Urdu Nazam By Shamim Qasmi

Muhajir Parinde Ka Safar is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shamim Qasmi. Muhajir Parinde Ka Safar comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Muhajir Parinde Ka Safar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مہاجر پرندے کا سفر

شمیم قاسمی

جہاں پہ ختم ہو

ایسا سفر نہیں آیا

وہ تیرگی ہے کہ

کچھ بھی نظر نہیں آیا

وہ روشنی ہے کہ

چشم غزال حیراں ہے

نہیں ہے تاب کہ

دیکھے ذرا بھی سوئے فلک

کہاں سے آئی ہے

روئے زمیں پہ ایسی چمک

یہ راکٹوں کے دھماکے

یہ عصری میزائل

گماں ہے سمت سمندر

بدل کے رکھ دیں گے

ہرے بھرے سبھی منظر

بدل کے رکھ دیں گے

فصیل جسم کی دیوار

ڈھا کے رکھ دیں گے

یہ غم الگ ہے کہ

وہ آبشار سوکھ گیا

کہ جس سے ملتی تھی

جنگل کی زندگی کو نمو

فضا میں دور تلک

پھیلی ہوئی ہے کیسی بو

گلوں کے ہونٹ سے

اب تک فرار ہے خوشبو

یہ مانتا ہوں کہ

ذوق جنوں کی سرحد پہ

ابھی بھی

ہجر کی پرچھائیاں

سلگتی ہیں

ابھی بھی

دشت میں کچھ لکڑیاں

سلگتی ہیں

خزاں کے بعد

چمن میں بہار آتی ہے

الگ یہ بات کبھی اشک بار آتی ہے

اگر یہ سچ ہے تو

ایسا یقین ہے مجھ کو

ترے وصال کا موسم

ضرور آئے گا

ابھی اداس ہے جنگل

لہو لہو ہے فضا

مرے جنوں کا پرندہ

ابھی مہاجر ہے

جہاں پہ ختم ہو

ایسا سفر نہیں آیا

شمیم قاسمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Muhajir Parinde Ka Safar

Shamim Qasmi

jahan pe KHatm ho
aisa safar nahin aaya
wo tirgi hai ki
kuchh bhi nazar nahin aaya
wo raushni hai ki
chashm-e-ghazal hairan hai
nahin hai tab ki
dekhe zara bhi su-e-falak
kahan se aai hai
ru-e-zamin pe aisi chamak
ye rocketon ke dhamake
ye asri missile
guman hai samt-e-samundar
badal ke rakh denge
hare bhare sabhi manzar
badal ke rakh denge
fasil-e-jism ki diwar
Dha ke rakh denge
ye gham alag hai ki
wo aabshaar sukh gaya
ki jis se milti thi
jangal ki zindagi ko numu
faza mein dur talak
phaili hui hai kaisi bu
gulon ke honT se
ab tak farar hai KHushbu
ye manta hun ki
zauq-e-junun ki sarhad pe
abhi bhi
hijr ki parchhaiyan
sulagti hain
abhi bhi
dasht mein kuchh lakDiyan
sulagti hain
KHizan ke ba'd
chaman mein bahaar aati hai
alag ye baat kabhi ashk-bar aati hai
agar ye sach hai to
aisa yaqin hai mujh ko
tere visal ka mausam
zarur aaega
abhi udas hai jangal
lahu lahu hai faza
mere junun ka parinda
abhi muhajir hai
jahan pe KHatm ho
aisa safar nahin aaya

(430) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Muhajir Parinde Ka Safar written by Shamim Qasmi at UrduPoint. Muhajir Parinde Ka Safar is one of the masterpieces written by Shamim Qasmi. You can also find the complete poetry collection of Shamim Qasmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shamim Qasmi' above.

Muhajir Parinde Ka Safar is a widely read Urdu Nazam. If you like Muhajir Parinde Ka Safar, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.