Nahin Main Hausla To Kar Raha Tha, Urdu Ghazal By Hariq Kaifi

Nahin Main Hausla To Kar Raha Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hariq Kaifi. Nahin Main Hausla To Kar Raha Tha comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Nahin Main Hausla To Kar Raha Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہیں میں حوصلہ تو کر رہا تھا

شارق کیفی

نہیں میں حوصلہ تو کر رہا تھا

ذرا تیرے سکوں سے ڈر رہا تھا

اچانک جھینپ کر ہنسنے لگا میں

بہت رونے کی کوشش کر رہا تھا

بھنور میں پھر ہمیں کچھ مشغلے تھے

وہ بیچارہ تو ساحل پر رہا تھا

لرزتے کانپتے ہاتھوں سے بوڑھا

چلم میں پھر کوئی دکھ بھر رہا تھا

اچانک لو اٹھی اور جل گیا میں

بجھی کرنوں کو یکجا کر رہا تھا

گلہ کیا تھا اگر سب ساتھ ہوتے

وہ بس تنہا سفر سے ڈر رہا تھا

غلط تھا روکنا اشکوں کو یوں بھی

کہ بنیادوں میں پانی مر رہا تھا

شارق کیفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nahin Main Hausla To Kar Raha Tha

Hariq Kaifi

nahin main hausla to kar raha tha
zara tere sukun se Dar raha tha

achanak jhenp kar hansne laga main
bahut rone ki koshish kar raha tha

bhanwar mein phir hamein kuchh mashghale the
wo bechaara to sahil par raha tha

larazte kanpte hathon se buDha
chilam mein phir koi dukh bhar raha tha

achanak lau uThi aur jal gaya main
bujhi kirnon ko yakja kar raha tha

gila kya tha agar sab sath hote
wo bas tanha safar se Dar raha tha

ghalat tha rokna ashkon ko yun bhi
ki buniyaadon mein pani mar raha tha

(335) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nahin Main Hausla To Kar Raha Tha written by Hariq Kaifi at UrduPoint. Nahin Main Hausla To Kar Raha Tha is one of the masterpieces written by Hariq Kaifi. You can also find the complete poetry collection of Hariq Kaifi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hariq Kaifi' above.

Nahin Main Hausla To Kar Raha Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nahin Main Hausla To Kar Raha Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.