Mazdur Ki Maut, Urdu Nazam By Shatir Hakeemi

Mazdur Ki Maut is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shatir Hakeemi. Mazdur Ki Maut comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Mazdur Ki Maut on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مزدور کی موت

شاطرحکیمی

وقت کا مارا ہوا انساں رعونت کا شکار

جس کی محنت کا نتیجہ عظمت سرمایہ دار

اصل میں ہندوستاں کا بادشہ لیکن غلام

زندگی کی دوسری منزل میں ہے گرم خرام

پھر رہا ہے چلچلاتی دھوپ میں دیوانہ وار

بال بچوں کا تصور کر رہا ہے بے قرار

خون پانی ایک کر کے دام جب ملتے نہیں

ہاتھ پھیلا کر بھی کیا دے گا کوئی نان جویں

ابتدا ہے تیسرے فاقے کی گھر میں کچھ نہیں

سوچ کر کچھ گھر کی جانب چل پڑا مرد حزیں

دیکھتا کیا ہے کہ بچہ بھوک سے ہے بے قرار

جیسے کوئی مار کھا کے بھاگنے والا شکار

گود میں بٹھلا کے ماں سمجھا رہی ہے پیار سے

آتے ہی ہوں گے ترے ابا ابھی بازار سے

اس سے یہ افلاس کا منظر نہ دیکھا جا سکا

بے تحاشا چیخ ماری سر پٹک کر مر گیا

ایک سناٹا زمیں سے آسماں تک چھا گیا

وقت کے ماتھے پہ ہلکا سا پسینہ آ گیا

حیف اے ارض مقدس مادر ہندوستاں

تیرے بچے اور یوں ہو جائیں بے نام و نشاں

شاطرحکیمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mazdur Ki Maut

Shatir Hakeemi

waqt ka mara hua insan raunat ka shikar
jis ki mehnat ka natija azmat-e-sarmaya-dar

asl mein hindostan ka baadshah lekin ghulam
zindagi ki dusri manzil mein hai garm-e-KHiram

phir raha hai chilchilati dhup mein diwana-war
baal-bachchon ka tasawwur kar raha hai be-qarar

KHun pani ek kar ke dam jab milte nahin
hath phaila kar bhi kya dega koi nan-e-jawin

ibtida hai tisre faqe ki ghar mein kuchh nahin
soch kar kuchh ghar ki jaanib chal paDa mard-e-hazin

dekhta kya hai ki bachcha bhuk se hai be-qarar
jaise koi mar kha ke bhagne wala shikar

god mein biThla ke man samjha rahi hai pyar se
aate hi honge tere abba abhi bazar se

us se ye iflas ka manzar na dekha ja saka
be-tahasha chiKH mari sar paTak kar mar gaya

ek sannaTa zamin se aasman tak chha gaya
waqt ke mathe pe halka sa pasina aa gaya

haif ai arz-e-muqaddas madar-e-hindostan
tere bachche aur yun ho jaen benam-o-nishan

(395) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mazdur Ki Maut written by Shatir Hakeemi at UrduPoint. Mazdur Ki Maut is one of the masterpieces written by Shatir Hakeemi. You can also find the complete poetry collection of Shatir Hakeemi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shatir Hakeemi' above.

Mazdur Ki Maut is a widely read Urdu Nazam. If you like Mazdur Ki Maut, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.