Fareb-e-zauq Ko Har Rang Mein Ayan Dekha, Urdu Ghazal By Shaukat Thanvi

Fareb-e-zauq Ko Har Rang Mein Ayan Dekha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaukat Thanvi. Fareb-e-zauq Ko Har Rang Mein Ayan Dekha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Fareb-e-zauq Ko Har Rang Mein Ayan Dekha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فریب ذوق کو ہر رنگ میں عیاں دیکھا

شوکت تھانوی

فریب ذوق کو ہر رنگ میں عیاں دیکھا

جہاں جہاں تجھے ڈھونڈھا وہاں وہاں دیکھا

وہی ہے دشت جنوں اور وہی ہے تنہائی

ترے فریب کو اے گرد کارواں دیکھا

ہے برق کو بھی کوئی لاگ نا مرادوں سے

گری تڑپ کے جہاں اس نے آشیاں دیکھا

جنوں نے حافظہ برباد کر دیا اپنا

کچھ اب تو یاد نہیں ہے کسے کہاں دیکھا

عجب یہ دل ہے جسے باوجود تنہائی

گھرا ہوا ترے جلووں کے درمیاں دیکھا

وہیں وہیں ترے جلووں نے آگ بھڑکائی

جہاں جہاں کوئی بے نام و بے نشاں دیکھا

طلسم سوز محبت کی گرمیاں توبہ

کہ ہم نے اشک کے پانی میں بھی دھواں دیکھا

گلی میں ان کی قدم رکھ کے سخت حیراں ہوں

یہاں زمیں کو بھی ہم رنگ آسماں دیکھا

لگا دی جان کی بازی غم محبت نے

جب ان کے حسن کا سودا بہت گراں دیکھا

ہزار بار سنے ہم نے عشق کے نالے

مگر کسی نے جو دیکھا تو بے زباں دیکھا

شوکت تھانوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Fareb-e-zauq Ko Har Rang Mein Ayan Dekha

Shaukat Thanvi

fareb-e-zauq ko har rang mein ayan dekha
jahan jahan tujhe DhunDha wahan wahan dekha

wahi hai dasht-e-junun aur wahi hai tanhai
tere fareb ko ai gard-e-karwan dekha

hai barq ko bhi koi lag na-muradon se
giri taDap ke jahan us ne aashiyan dekha

junun ne hafiza barbaad kar diya apna
kuchh ab to yaad nahin hai kise kahan dekha

ajab ye dil hai jise bawajud tanhai
ghira hua tere jalwon ke darmiyan dekha

wahin wahin tere jalwon ne aag bhaDkai
jahan jahan koi be-nam-o-be-nishan dekha

tilism-e-soz-e-mohabbat ki garmiyan tauba
ki hum ne ashk ke pani mein bhi dhuan dekha

gali mein un ki qadam rakh ke saKHt hairan hun
yahan zamin ko bhi ham-rang aasman dekha

laga di jaan ki bazi gham-e-mohabbat ne
jab un ke husn ka sauda bahut garan dekha

hazar bar sune hum ne ishq ke nale
magar kisi ne jo dekha to be-zaban dekha

(549) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Fareb-e-zauq Ko Har Rang Mein Ayan Dekha written by Shaukat Thanvi at UrduPoint. Fareb-e-zauq Ko Har Rang Mein Ayan Dekha is one of the masterpieces written by Shaukat Thanvi. You can also find the complete poetry collection of Shaukat Thanvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaukat Thanvi' above.

Fareb-e-zauq Ko Har Rang Mein Ayan Dekha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Fareb-e-zauq Ko Har Rang Mein Ayan Dekha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.