KHauf Ek Dil Mein Samaya Laraz UTTha Kaghaz, Urdu Ghazal By Shauq Bahraichi

KHauf Ek Dil Mein Samaya Laraz UTTha Kaghaz is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Bahraichi. KHauf Ek Dil Mein Samaya Laraz UTTha Kaghaz comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read KHauf Ek Dil Mein Samaya Laraz UTTha Kaghaz on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خوف اک دل میں سمایا لرز اٹھا کاغذ

شوق بہرائچی

خوف اک دل میں سمایا لرز اٹھا کاغذ

کانپتے ہاتھوں سے ظالم نے جو موڑا کاغذ

نہ تو نیلا نہ تو پیلا نہ تو اجلا کاغذ

چاہئے ان کے تلون کو ترنگا کاغذ

صفحۂ دل پہ نظر آتے ہیں اب داغ ہی داغ

گود ڈالا کسی کمبخت نے سارا کاغذ

باغباں کے ستم و جور جو لکھتے بیٹھے

لگ گیا رم کا رم اور دستہ کا دستہ کاغذ

جب بھی وہ بیٹھتے ہیں لکھنے کو اقرار وفا

گاؤں بھر میں کہیں ملتا نہیں پرزہ کاغذ

ان کے ہاتھوں میں قلم دان ہدایت اب ہے

جو نہیں جانتے سیدھا ہے کہ الٹا کاغذ

کیا کہے ان کے تخیل کی دیانت کوئی

جیسے دیکھا ہے کبھی بانس کا موٹا کاغذ

ظلم ڈھا کر بھی ابھی تک ہے کوئی بے تقصیر

روز لکھنے پہ بھی ہے سادے کا سادہ کاغذ

داستاں گیسوئے پیچاں کی جو لکھنے بیٹھے

فاؤنٹن پن میں ہمارے بہت الجھا کاغذ

دم تحریر نہ ظاہر ہو کہیں دل کا غبار

دیکھیے ہونے نہ پائے کہیں میلا کاغذ

بھیجنا ہے مجھے اک ماہ جبیں کا خط شوق

شوقؔ صاحب کہیں ملتا نہیں بڑھیا کاغذ

شوق بہرائچی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHauf Ek Dil Mein Samaya Laraz UTTha Kaghaz

Shauq Bahraichi

KHauf ek dil mein samaya laraz uTTha kaghaz
kanpte hathon se zalim ne jo moDa kaghaz

na to nila na to pila na to ujla kaghaz
chahiye un ke talawwun ko tiranga kaghaz

safha-e-dil pe nazar aate hain ab dagh hi dagh
god Dala kisi kambaKHt ne sara kaghaz

baghban ke sitam-o-jaur jo likhte baiThe
lag gaya ram ka ram aur dasta ka dasta kaghaz

jab bhi wo baiThte hain likhne ko iqrar-e-wafa
ganw bhar mein kahin milta nahin purza kaghaz

un ke hathon mein qalam-dan-e-hidayat ab hai
jo nahin jaante sidha hai ki ulTa kaghaz

kya kahe un ke taKHayyul ki diyanat koi
jaise dekha hai kabhi bans ka moTa kaghaz

zulm Dha kar bhi abhi tak hai koi be-taqsir
roz likhne pe bhi hai sade ka sada kaghaz

dastan gesu-e-pechan ki jo likhne baiThe
fountain-pen mein hamare bahut uljha kaghaz

dam-e-tahrir na zahir ho kahin dil ka ghubar
dekhiye hone na pae kahin maila kaghaz

bhejna hai mujhe ek mah-jabin ka KHat-e-shauq
'shauq'-sahab kahin milta nahin baDhiya kaghaz

(508) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHauf Ek Dil Mein Samaya Laraz UTTha Kaghaz written by Shauq Bahraichi at UrduPoint. KHauf Ek Dil Mein Samaya Laraz UTTha Kaghaz is one of the masterpieces written by Shauq Bahraichi. You can also find the complete poetry collection of Shauq Bahraichi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Bahraichi' above.

KHauf Ek Dil Mein Samaya Laraz UTTha Kaghaz is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHauf Ek Dil Mein Samaya Laraz UTTha Kaghaz, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.