Ye KHabar Aai Hai Aaj Ek Murshid-e-akmal Ke Pas, Urdu Ghazal By Shauq Bahraichi

Ye KHabar Aai Hai Aaj Ek Murshid-e-akmal Ke Pas is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Bahraichi. Ye KHabar Aai Hai Aaj Ek Murshid-e-akmal Ke Pas comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Ye KHabar Aai Hai Aaj Ek Murshid-e-akmal Ke Pas on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ خبر آئی ہے آج اک مرشد اکمل کے پاس

شوق بہرائچی

یہ خبر آئی ہے آج اک مرشد اکمل کے پاس

ان کو دھمکایا کسی نے ریلوے سگنل کے پاس

حسن آوارہ کا اے ہم دم بھلا کیا اعتبار

آج بھٹناگر کے بس میں ہے تو کل متل کے پاس

ان کی وحشت سے یہ ظاہر ہو رہا ہے خود بہ خود

یہ اسی موضع میں رہتے ہیں جو ہے منگل کے پاس

باغباں کی اب توجہ ہے گلستاں کی طرف

پودے بڑھ کے خود لگائے ہیں کئی کٹہل کے پاس

اٹھ گیا بزم طرب سے وہ رقیب رو سیاہ

رفتہ رفتہ ہاتھ جب پہنچا مرا چپل کے پاس

رزم گہہ میں ان سے نظریں لڑ رہی ہیں بار بار

ہو رہا ہے ایک دنگل اور اسی دنگل کے پاس

لوگ ان کی بزم میں رہ کر بھی ہیں محروم دید

جاں بلب ہیں پیاس سے بیٹھے ہوئے ہیں نل کے پاس

دیکھیے یہ بادۂ رنگیں کی ادنیٰ سی کشش

شیخ صاحب اور کھسک کر آ گئے بوتل کے پاس

ناصح ناداں کا شکوہ کرنا ہے بالکل فضول

وہ تو پاگل ہے کوئی کیوں جائے پھر پاگل کے پاس

ہمت افزائی نہ جب عمال معمولی نے کی

پہنچی رشوت افسران درجۂ اول کے پاس

شوقؔ صاحب مونس تنہائی کی حاجت ہو گر

تو کسی دن بے تکلف چلئے سیو ادل کے پاس

شوق بہرائچی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye KHabar Aai Hai Aaj Ek Murshid-e-akmal Ke Pas

Shauq Bahraichi

ye KHabar aai hai aaj ek murshid-e-akmal ke pas
un ko dhamkaya kisi ne railway-signal ke pas

husn-e-awara ka ai hamdam bhala kya e'tibar
aaj bhaTanagar ke bas mein hai to kal mittal ke pas

un ki wahshat se ye zahir ho raha hai KHud-ba-KHud
ye usi mauza mein rahte hain jo hai mangal ke pas

baghban ki ab tawajjoh hai gulistan ki taraf
paude baDh ke KHud lagae hain kai kaThal ke pas

uTh gaya bazm-e-tarab se wo raqib-e-ru-siyah
rafta rafta hath jab pahuncha mera chappal ke pas

razm-gah mein un se nazren laD rahi hain bar bar
ho raha hai ek danggal aur usi danggal ke pas

log un ki bazm mein rah kar bhi hain mahrum-e-did
jaan-ba-lab hain pyas se baiThe hue hain nal ke pas

dekhiye ye baada-e-rangin ki adna si kashish
shaiKH-sahib aur khisak kar aa gae botal ke pas

naseh-e-nadan ka shikwa karna hai bilkul fuzul
wo to pagal hai koi kyun jae phir pagal ke pas

himmat-afzai na jab ummal-e-mamuli ne ki
pahunchi rishwat afsaran-e-darja-e-awwal ke pas

'shauq'-sahib munis-e-tanhai ki hajat ho gar
to kisi din be-takalluf chaliye sewa-dal ke pas

(1200) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye KHabar Aai Hai Aaj Ek Murshid-e-akmal Ke Pas written by Shauq Bahraichi at UrduPoint. Ye KHabar Aai Hai Aaj Ek Murshid-e-akmal Ke Pas is one of the masterpieces written by Shauq Bahraichi. You can also find the complete poetry collection of Shauq Bahraichi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Bahraichi' above.

Ye KHabar Aai Hai Aaj Ek Murshid-e-akmal Ke Pas is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye KHabar Aai Hai Aaj Ek Murshid-e-akmal Ke Pas, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.