Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai, Urdu Ghazal By Shauq Moradabadi

Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Moradabadi. Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ضبط کی حد سے بھی جس وقت گزر جاتا ہے

شوق مرادابادی

ضبط کی حد سے بھی جس وقت گزر جاتا ہے

درد ہونٹوں پہ ہنسی بن کے بکھر جاتا ہے

رنگ بھر جاتا ہے پھر عشق کے افسانے میں

اشک بن بن کے اگر خون جگر جاتا ہے

آج تک عالم وحشت میں پئے جاتے ہیں

کتنی مدت میں گھٹاؤں کا اثر جاتا ہے

جام پی لیتے ہیں سب دیکھنا ہے ظرف مگر

کون کس وقت اٹھا اور کدھر جاتا ہے

دور وحشت میں محبت میں جنوں میں انساں

جو نہ ممکن ہو کسی طور وہ کر جاتا ہے

اپنے بیگانوں سے کچھ بیش تھے آزاری میں

بات رہ جاتی ہے اور وقت گزر جاتا ہے

کتنا بے خوف ہو بے درد نہ کیوں ہو آخر

آئنہ دیکھ کے اعمال سے ڈر جاتا ہے

وقت کٹ جائے اگر عالم تنہائی میں

دل میں احساس ملاقات ہی مر جاتا ہے

وہ جو دنیا کی حقیقت کو سمجھ لے انساں

اپنی منزل کی طرف سینہ سپر جاتا ہے

عالم ناز میں کچھ بھی تو نہیں تیرے سوا

اک تصور ہے جو تا حد نظر جاتا ہے

سینکڑوں داغ چمکتے ہیں تہ قلب اے شوقؔ

کتنی گہرائی میں اف عکس اتر جاتا ہے

شوق مرادابادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai

Shauq Moradabadi

zabt ki had se bhi jis waqt guzar jata hai
dard honTon pe hansi ban ke bikhar jata hai

rang bhar jata hai phir ishq ke afsane mein
ashk ban ban ke agar KHun-e-jigar jata hai

aaj tak aalam-e-wahshat mein piye jate hain
kitni muddat mein ghaTaon ka asar jata hai

jam pi lete hain sab dekhna hai zarf magar
kaun kis waqt uTha aur kidhar jata hai

daur-e-wahshat mein mohabbat mein junun mein insan
jo na mumkin ho kisi taur wo kar jata hai

apne beganon se kuchh besh the aazari mein
baat rah jati hai aur waqt guzar jata hai

kitna be-KHauf ho be-dard na kyun ho aaKHir
aaina dekh ke aamal se Dar jata hai

waqt kaT jae agar aalam-e-tanhai mein
dil mein ehsas-e-mulaqat hi mar jata hai

wo jo duniya ki haqiqat ko samajh le insan
apni manzil ki taraf sina-sipar jata hai

aalam-e-naz mein kuchh bhi to nahin tere siwa
ek tasawwur hai jo ta-hadd-e-nazar jata hai

sainkaDon dagh chamakte hain tah-e-qalb ai 'shauq'
kitni gahrai mein uf aks utar jata hai

(583) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai written by Shauq Moradabadi at UrduPoint. Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai is one of the masterpieces written by Shauq Moradabadi. You can also find the complete poetry collection of Shauq Moradabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Moradabadi' above.

Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.