Hath UThata Hun Main Ab Dua Ke Liye, Urdu Ghazal By Shauq Salki

Hath UThata Hun Main Ab Dua Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Salki. Hath UThata Hun Main Ab Dua Ke Liye comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Hath UThata Hun Main Ab Dua Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہاتھ اٹھاتا ہوں میں اب دعا کے لیے

شوق سالکی

ہاتھ اٹھاتا ہوں میں اب دعا کے لیے

تم بھی آمین کہنا خدا کے لیے

مجھ کو اس نیم جاں دل پہ حیرت ہے جو

زندگی چاہتا ہے خطا کے لیے

آفتیں جس قدر ہو سکیں بخش دو

وقف ہے دل مرا ہر بلا کے لیے

مجھ تک آنے میں زحمت نہ ہو لاؤ میں

راہ ہموار کر دوں قضا کے لیے

نقل فریاد سے میری کیا فائدہ

کچھ اثر بھی ہو دل کی صدا کے لیے

ابتدا غم کی جب بن گئی زندگی

مجھ کو مرنا پڑا انتہا کے لیے

شوقؔ ان کے ستم کی لطافت نہ پوچھ

دل تڑپتا ہے اب تک جفا کے لیے

شوق سالکی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hath UThata Hun Main Ab Dua Ke Liye

Shauq Salki

hath uThata hun main ab dua ke liye
tum bhi aamin kahna KHuda ke liye

mujh ko is nim-jaan dil pe hairat hai jo
zindagi chahta hai KHata ke liye

aafaten jis qadar ho sakin baKHsh do
waqf hai dil mera har bala ke liye

mujh tak aane mein zahmat na ho lao main
rah hamwar kar dun qaza ke liye

naql-e-fariyaad se meri kya faeda
kuchh asar bhi ho dil ki sada ke liye

ibtida gham ki jab ban gai zindagi
mujh ko marna paDa intiha ke liye

'shauq' un ke sitam ki latafat na puchh
dil taDapta hai ab tak jafa ke liye

(282) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hath UThata Hun Main Ab Dua Ke Liye written by Shauq Salki at UrduPoint. Hath UThata Hun Main Ab Dua Ke Liye is one of the masterpieces written by Shauq Salki. You can also find the complete poetry collection of Shauq Salki by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Salki' above.

Hath UThata Hun Main Ab Dua Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hath UThata Hun Main Ab Dua Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.