Nur Hai Raushni Ka Haala Hai, Urdu Ghazal By Shaz Malik

Nur Hai Raushni Ka Haala Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaz Malik. Nur Hai Raushni Ka Haala Hai comes under the Love category of Urdu Ghazal. You can read Nur Hai Raushni Ka Haala Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نور ہے روشنی کا ہالہ ہے

شاذ ملک

نور ہے روشنی کا ہالہ ہے

عشق تو روح کا اجالا ہے

دل میں اترے نہال کر ڈالے

عشق کا طور ہی نرالا ہے

وہ تو کہتا ہے آؤ سمجھو تم

دل میں جس نے گیان ڈالا ہے

جال بنتی ہے نفس کی مکڑی

بس اتارو یہ شر کا جالا ہے

دل کی درگاہ میں جھکا جب سر

عشق کا بول تب سے بالا ہے

دل کو محسوس بس ہوا جیسے

عشق روئی کا نرم گالا ہے

ذکر ان کا ہی روح میں اترا

عشق ان کا مرا حوالہ ہے

یہ سلگتا ہے آنچ سے غم کی

ہجر کا شاذؔ دل پہ چھالا ہے

شاذ ملک

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nur Hai Raushni Ka Haala Hai

Shaz Malik

nur hai raushni ka haala hai
ishq to ruh ka ujala hai

dil mein utre nihaal kar Dale
ishq ka taur hi nirala hai

wo to kahta hai aao samjho tum
dil mein jis ne giyan Dala hai

jal bunti hai nafs ki makDi
bas utaro ye shar ka jala hai

dil ki dargah mein jhuka jab sar
ishq ka bol tab se baala hai

dil ko mahsus bas hua jaise
ishq rui ka narm gala hai

zikr un ka hi ruh mein utra
ishq un ka mera hawala hai

ye sulagta hai aanch se gham ki
hijr ka 'shaz' dil pe chhaala hai

(530) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nur Hai Raushni Ka Haala Hai written by Shaz Malik at UrduPoint. Nur Hai Raushni Ka Haala Hai is one of the masterpieces written by Shaz Malik. You can also find the complete poetry collection of Shaz Malik by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaz Malik' above.

Nur Hai Raushni Ka Haala Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nur Hai Raushni Ka Haala Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.