Hijab-e-raaz Faiz-e-murshid-e-kaamil Se UThta Hai, Urdu Ghazal By Sher Singh Naaz Dehlvi

Hijab-e-raaz Faiz-e-murshid-e-kaamil Se UThta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sher Singh Naaz Dehlvi. Hijab-e-raaz Faiz-e-murshid-e-kaamil Se UThta Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Hijab-e-raaz Faiz-e-murshid-e-kaamil Se UThta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حجاب راز فیض مرشد کامل سے اٹھتا ہے

شیر سنگھ ناز دہلوی

حجاب راز فیض مرشد کامل سے اٹھتا ہے

نظر حق آشنا ہوتی ہے پردہ دل سے اٹھتا ہے

جلا جاتا ہوں بار سوز غم مشکل سے اٹھتا ہے

وہ اشکوں سے نہیں بجھتا جو شعلہ دل سے اٹھتا ہے

کہاں خنجر بھی دست ناوک قاتل سے اٹھتا ہے

نزاکت سے حنا کا بار بھی مشکل سے اٹھتا ہے

یہ کس نے ڈال دی بحر تلاطم خیز میں کشتی

یہ شور ہرچہ باد اباد کیوں ساحل سے اٹھتا ہے

کشیدہ جس سے تم ہوتے ہو کوئی رخ نہیں کرتا

گراتے ہو نظر سے تم جسے مشکل سے اٹھتا ہے

یہ آنسو کسمپرسی کس کے ماتم میں بہاتی ہے

جنازہ آج کس کا کوچۂ قاتل سے اٹھتا ہے

مگر تاثیر پیدا ہو گئی مجنوں کے نالوں میں

کہ پردہ آج دست لیلی محمل سے اٹھتا ہے

رخ بے پردہ ان کا یاد آتا ہے شب ہجراں

حجاب ابر جب روئے مہ کامل سے اٹھتا ہے

لگا دی آتش خاموش کیا سوز محبت نے

الٰہی خیر دود آہ سوزاں دل سے اٹھتا ہے

کیا شرمندہ اتنا سخت جانی نے نزاکت سے

خجالت سے سر ان کے سامنے مشکل سے اٹھتا ہے

کلیجہ تھام لیں دیدار جاناں دیکھنے والے

بس اب پردہ رخ رشک مہ کامل سے اٹھتا ہے

چلے احباب آغوش لحد میں چھوڑ کر مجھ کو

کہ ہمدردی کا جذبہ پہلی ہی منزل سے اٹھتا ہے

شیر سنگھ ناز دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hijab-e-raaz Faiz-e-murshid-e-kaamil Se UThta Hai

Sher Singh Naaz Dehlvi

hijab-e-raaz faiz-e-murshid-e-kaamil se uThta hai
nazar haq-ashna hoti hai parda dil se uThta hai

jala jata hun bar-e-soz-e-gham mushkil se uThta hai
wo ashkon se nahin bujhta jo shola dil se uThta hai

kahan KHanjar bhi dast-e-nawak-e-qatil se uThta hai
nazakat se hina ka bar bhi mushkil se uThta hai

ye kis ne Dal di bahr-e-talatum-KHez mein kashti
ye shor-e-harche-baada-e-baad kyun sahil se uThta hai

kashida jis se tum hote ho koi ruKH nahin karta
giraate ho nazar se tum jise mushkil se uThta hai

ye aansu kasm-pursi kis ke matam mein bahati hai
janaza aaj kis ka kucha-e-qatil se uThta hai

magar tasir paida ho gai majnun ke nalon mein
ki parda aaj dast-e-laila-e-mahmil se uThta hai

ruKH-e-be-parda un ka yaad aata hai shab-e-hijran
hijab-e-abr jab ru-e-mah-e-kaamil se uThta hai

laga di aatish-e-KHamosh kya soz-e-mohabbat ne
ilahi KHair dud-e-ah-e-sozan dil se uThta hai

kiya sharminda itna saKHt-jaani ne nazakat se
KHajalat se sar un ke samne mushkil se uThta hai

kaleja tham len didar-e-jaanan dekhne wale
bas ab parda ruKH-e-rashk-e-mah-e-kaamil se uThta hai

chale ahbab aaghosh-e-lahad mein chhoD kar mujh ko
ki hamdardi ka jazba pahli hi manzil se uThta hai

(1011) ووٹ وصول ہوئے

You can read Hijab-e-raaz Faiz-e-murshid-e-kaamil Se UThta Hai written by Sher Singh Naaz Dehlvi at UrduPoint. Hijab-e-raaz Faiz-e-murshid-e-kaamil Se UThta Hai is one of the masterpieces written by Sher Singh Naaz Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Sher Singh Naaz Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sher Singh Naaz Dehlvi' above.

Hijab-e-raaz Faiz-e-murshid-e-kaamil Se UThta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hijab-e-raaz Faiz-e-murshid-e-kaamil Se UThta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.