Ghazab Hai Muddai Jo Ho Wahi Phir Muddaa Thahre, Urdu Ghazal By Shiv Narayan Aaram

Ghazab Hai Muddai Jo Ho Wahi Phir Muddaa Thahre is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shiv Narayan Aaram. Ghazab Hai Muddai Jo Ho Wahi Phir Muddaa Thahre comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Ghazab Hai Muddai Jo Ho Wahi Phir Muddaa Thahre on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غضب ہے مدعی جو ہو وہی پھر مدعا ٹھہرے

شیو نرائن آرام

غضب ہے مدعی جو ہو وہی پھر مدعا ٹھہرے

جو اپنا دشمن دل ہو وہی دل کی دوا ٹھہرے

وہ چاہیں جس قدر جور و جفا ہم پر کریں لیکن

ہمیں تسلیم لازم ہے کہ پابند رضا ٹھہرے

یہ دنیا اک سرا ہے اس کو آخر چھوڑ جانا ہے

اگر دو چار دن آکر یہاں ٹھہرے تو کیا ٹھہرے

کٹے ہیں سر بہت تیغ جفا سے بے گناہی کے

عجب کیا ہے اگر قاتل کا کوچہ کربلا ٹھہرے

ادھر آنے کو ہیں وہ اور ادھر وقت سفر آیا

عجب مشکل نہ وہ آئیں نہ دم بھر کو قضا ٹھہرے

اسی کو زندگی کا لطف ہے اس دہر فانی میں

کہ جو نزدیک اچھوں کے بھلا اور با خدا ٹھہرے

قیام اپنا ہو اس محنت سرائے دہر میں کیونکر

جہاں آفت ہی آفت ہو وہاں آرامؔ کیا ٹھہرے

شیو نرائن آرام

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghazab Hai Muddai Jo Ho Wahi Phir Muddaa Thahre

Shiv Narayan Aaram

ghazab hai muddai jo ho wahi phir muddaa Thahre
jo apna dushman-e-dil ho wahi dil ki dawa Thahre

wo chahen jis qadar jaur-o-jafa hum par karen lekin
hamein taslim lazim hai ki paband-e-raza Thahre

ye duniya ek sara hai is ko aaKHir chhoD jaana hai
agar do-chaar din aakar yahan Thahre to kya Thahre

kaTe hain sar bahut tegh-e-jafa se be-gunahi ke
ajab kya hai agar qatil ka kucha karbala Thahre

idhar aane ko hain wo aur udhar waqt-e-safar aaya
ajab mushkil na wo aaen na dam-bhar ko qaza Thahre

usi ko zindagi ka lutf hai is dahr-e-fani mein
ki jo nazdik achchhon ke bhala aur ba-KHuda Thahre

qiyam apna ho is mehnat-sara-e-dahr mein kyunkar
jahan aafat hi aafat ho wahan 'aram' kya Thahre

(331) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ghazab Hai Muddai Jo Ho Wahi Phir Muddaa Thahre written by Shiv Narayan Aaram at UrduPoint. Ghazab Hai Muddai Jo Ho Wahi Phir Muddaa Thahre is one of the masterpieces written by Shiv Narayan Aaram. You can also find the complete poetry collection of Shiv Narayan Aaram by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shiv Narayan Aaram' above.

Ghazab Hai Muddai Jo Ho Wahi Phir Muddaa Thahre is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ghazab Hai Muddai Jo Ho Wahi Phir Muddaa Thahre, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.