KHarab-haalon Mein Gham-KHwar Baaten Karte Hain, Urdu Ghazal By Shokh Ji

KHarab-haalon Mein Gham-KHwar Baaten Karte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shokh Ji. KHarab-haalon Mein Gham-KHwar Baaten Karte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHarab-haalon Mein Gham-KHwar Baaten Karte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خراب حالوں میں غم خوار باتیں کرتے ہیں

شوخ جی

خراب حالوں میں غم خوار باتیں کرتے ہیں

کیا وقت ہے کہ مرے یار باتیں کرتے ہیں

مرے خلاف جو کہنا ہے میرے منہ پہ کہیں

یہ لوگ کیوں پس دیوار باتیں کرتے ہیں

زباں سے بات نکلنے کی دیر ہوتی ہے

رویے چیختے کردار باتیں کرتے ہیں

یہ لوگ جو بھی کہیں ان کی ان سنی کرنا

ہمارے بارے میں بیکار باتیں کرتے ہیں

تمام اپنوں کا رکھتا ہوں مان میں لیکن

مجھے یہ ٹوکتے ہر بار باتیں کرتے ہیں

میں چیختا ہوں مری بات کیوں نہیں سنتے

مجھے تمہارے طرف دار باتیں کرتے ہیں

اداس لفظ ورق پر بکھیر دیتا ہوں

تو چپکے چپکے سب اشعار باتیں کرتے ہیں

وہ چہرہ دیکھ کے دکھ درد بھول جاتا ہوں

وہ آنکھیں بولتی رخسار باتیں کرتے ہیں

جہاں ہمارے سوا اور کوئی نہیں ہوتا

ہم ان سے سوچ کے اس پار باتیں کرتے ہیں

میں چاہتا ہوں وہ ہر لمحہ مجھ سے باتیں کریں

مگر وہ شوخ جیؔ دو چار باتیں کرتے ہیں

شوخ جی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHarab-haalon Mein Gham-KHwar Baaten Karte Hain

Shokh Ji

KHarab-haalon mein gham-KHwar baaten karte hain
kya waqt hai ki mere yar baaten karte hain

mere KHilaf jo kahna hai mere munh pe kahen
ye log kyon pas-e-diwar baaten karte hain

zaban se baat nikalne ki der hoti hai
rawayye chiKHte kirdar baaten karte hain

ye log jo bhi kahen un ki an-suni karna
hamare bare mein be-kar baaten karte hain

tamam apnon ka rakhta hun man main lekin
mujhe ye Tokte har bar baaten karte hain

main chiKHta hun meri baat kyon nahin sunte
mujhe tumhaare taraf-dar baaten karte hain

udas lafz waraq par bikher deta hun
to chupke chupke sab ashaar baaten karte hain

wo chehra dekh ke dukh-dard bhul jata hun
wo aankhen bolti ruKHsar baaten karte hain

jahan hamare siwa aur koi nahin hota
hum un se soch ke is par baaten karte hain

main chahta hun wo har lamha mujh se baaten karen
magar wo 'shoKH-ji' do-chaar baaten karte hain

(488) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHarab-haalon Mein Gham-KHwar Baaten Karte Hain written by Shokh Ji at UrduPoint. KHarab-haalon Mein Gham-KHwar Baaten Karte Hain is one of the masterpieces written by Shokh Ji. You can also find the complete poetry collection of Shokh Ji by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shokh Ji' above.

KHarab-haalon Mein Gham-KHwar Baaten Karte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHarab-haalon Mein Gham-KHwar Baaten Karte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.