Gunahgar Hun Aisa Rah-e-najat Mein Hun, Urdu Ghazal By Siraj Lakhnavi

Gunahgar Hun Aisa Rah-e-najat Mein Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Siraj Lakhnavi. Gunahgar Hun Aisa Rah-e-najat Mein Hun comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gunahgar Hun Aisa Rah-e-najat Mein Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گناہ گار ہوں ایسا رہ نجات میں ہوں

سراج لکھنوی

گناہ گار ہوں ایسا رہ نجات میں ہوں

میں خود چراغ بکف ہر اندھیری رات میں ہوں

شعور گم ہوا دیوانگی ہے کھوئی ہوئی

خدا ہی جانے میں کس منزل حیات میں ہوں

تجلی‌ پس پردہ ذرا توقف کر

ابھی تو گرم نظر بزم ممکنات میں ہوں

سوال ایک نظر کا ہے رد نہ کر اے دوست

گدائے‌ خاک بسر راہ التفات میں ہوں

حریف جلوہ بھی اک روز ہوں گا صبر کرو

ابھی تو اپنی بہشت تصورات میں ہوں

ہے تیری یاد کا عالم بھی کتنا دل آویز

سمجھ رہا ہوں کسی اور کائنات میں ہوں

کسی کے دل کا سکوں ہوں کسی کے دل کی خلش

ضمیر وقت ہوں اور قلب کائنات میں ہوں

ہے میرے ہاتھ میں بھی دل کا اک بجھا سا دیا

کچھ آنسوؤں کی سجائی ہوئی برات میں ہوں

ہوں خود ہی آئینۂ حال کیا بتاؤں سراجؔ

میں کس کا نقش قدم عرصۂ حیات میں ہوں

سراج لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gunahgar Hun Aisa Rah-e-najat Mein Hun

Siraj Lakhnavi

gunahgar hun aisa rah-e-najat mein hun
main KHud charagh-ba-kaf har andheri raat mein hun

shuur gum hua diwangi hai khoi hui
KHuda hi jaane main kis manzil-e-hayat mein hun

tajalli-e-pas-e-parda zara tawaqquf kar
abhi to garm-e-nazar bazm-e-mumkinat mein hun

sawal ek nazar ka hai rad na kar ai dost
gada-e-KHak-basar rah-e-iltifat mein hun

harif-e-jalwa bhi ek roz hunga sabr karo
abhi to apni bahisht-e-tasawwuraat mein hun

hai teri yaad ka aalam bhi kitna dil-awez
samajh raha hun kisi aur kaenat mein hun

kisi ke dil ka sukun hun kisi ke dil ki KHalish
zamir-e-waqt hun aur qalb-e-kaenat mein hun

hai mere hath mein bhi dil ka ek bujha sa diya
kuchh aansuon ki sajai hui baraat mein hun

hun KHud hi aaina-e-haal kya bataun 'siraj'
main kis ka naqsh-e-qadam arsa-e-hayat mein hun

(488) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gunahgar Hun Aisa Rah-e-najat Mein Hun written by Siraj Lakhnavi at UrduPoint. Gunahgar Hun Aisa Rah-e-najat Mein Hun is one of the masterpieces written by Siraj Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Siraj Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Siraj Lakhnavi' above.

Gunahgar Hun Aisa Rah-e-najat Mein Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gunahgar Hun Aisa Rah-e-najat Mein Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.