Ise Kahte Hain Apni Zat Mein Mastur Ho Jaana, Urdu Ghazal By Sirajuddin Siraj

Ise Kahte Hain Apni Zat Mein Mastur Ho Jaana is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sirajuddin Siraj. Ise Kahte Hain Apni Zat Mein Mastur Ho Jaana comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ise Kahte Hain Apni Zat Mein Mastur Ho Jaana on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اسے کہتے ہیں اپنی ذات میں مستور ہو جانا

سراج الدین سراج

اسے کہتے ہیں اپنی ذات میں مستور ہو جانا

ترے نزدیک آنا اور خود سے دور ہو جانا

علاج تشنگی یہ ہے کہ آنسو پی لئے جائیں

کسی مے کش کا جیسے بے پیے مخمور ہو جانا

ہمارا اختیار بے طلب جبر مشیت ہے

وفا کے سلسلے میں فطرتاً مجبور ہو جانا

کرشمہ ہے یہ حق گوئی کا ورنہ کیسے ممکن تھا

مرے دل کا امین عظمت منصور ہو جانا

کسی شے کی کبھی فطرت نہ بدلی ہے نہ بدلے گی

کہ جیسے نار کا ممکن نہیں ہے نور ہو جانا

اگر دنیا میں غم ہی دائمی شے ہے تو پھر یارو

عبث ہے چند لمحوں کے لئے مسرور ہو جانا

مزاج عاشقی کا یہ عجب انداز دیکھا ہے

تمہارا مسکرانا درد کا کافور ہو جانا

خلوص باہمی درکار ہے ہستی کی راہوں میں

کوئی مشکل نہیں ہے زنگ دل سے دور ہو جانا

یہ احساس ندامت ہے سراجؔ اپنے گناہوں پر

کبھی رنجور ہو جانا کبھی مسرور ہو جانا

سراج الدین سراج

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ise Kahte Hain Apni Zat Mein Mastur Ho Jaana

Sirajuddin Siraj

ise kahte hain apni zat mein mastur ho jaana
tere nazdik aana aur KHud se dur ho jaana

ilaj-e-tishnagi ye hai ki aansu pi liye jaen
kisi mai-kash ka jaise be-piye maKHmur ho jaana

hamara iKHtiyar-e-be-talab jabr-e-mashiyyat hai
wafa ke silsile mein fitratan majbur ho jaana

karishma hai ye haq-goi ka warna kaise mumkin tha
mere dil ka amin-e-azmat-e-mansur ho jaana

kisi shai ki kabhi fitrat na badli hai na badlegi
ki jaise nar ka mumkin nahin hai nur ho jaana

agar duniya mein gham hi daimi shai hai to phir yaro
abas hai chand lamhon ke liye masrur ho jaana

mizaj-e-ashiqi ka ye ajab andaz dekha hai
tumhaara muskurana dard ka kafur ho jaana

KHulus-e-bahami darkar hai hasti ki rahon mein
koi mushkil nahin hai zang dil se dur ho jaana

ye ehsas-e-nadamat hai 'siraj' apne gunahon par
kabhi ranjur ho jaana kabhi masrur ho jaana

(368) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ise Kahte Hain Apni Zat Mein Mastur Ho Jaana written by Sirajuddin Siraj at UrduPoint. Ise Kahte Hain Apni Zat Mein Mastur Ho Jaana is one of the masterpieces written by Sirajuddin Siraj. You can also find the complete poetry collection of Sirajuddin Siraj by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sirajuddin Siraj' above.

Ise Kahte Hain Apni Zat Mein Mastur Ho Jaana is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ise Kahte Hain Apni Zat Mein Mastur Ho Jaana, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.