Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Ka Nishan Hai Ki Jo Tha, Urdu Ghazal By Syed Abid Ali Abid

Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Ka Nishan Hai Ki Jo Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Abid Ali Abid. Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Ka Nishan Hai Ki Jo Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Ka Nishan Hai Ki Jo Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غم دوراں غم جاناں کا نشاں ہے کہ جو تھا

سید عابد علی عابد

غم دوراں غم جاناں کا نشاں ہے کہ جو تھا

وصف خوباں بہ حدیث دگراں ہے کہ جو تھا

لذت عرض وفا راحت جاں ہے کہ جو تھی

دل‌ تپاں اشک رواں شوق جواں ہے کہ جو تھا

شرع و آئین کی تعزیر کے با وصف شباب

لب و رخسار کی جانب نگراں ہے کہ جو تھا

میرے پاؤں سے ہیں الجھے ہوئے ریشم کے سے تار

ہمدمو یہ تو وہی بند گراں ہے کہ جو تھا

عشق کی طرز تکلم وہی چپ ہے کہ جو تھی

لب خوش گوئے ہوس محو بیاں ہے کہ جو تھا

راہرو دشت میں فریاد کناں ہیں کہ جو تھا

خندہ زن قافلہ راہ براں ہے کہ جو تھا

مغبچے خوش ہیں کہ بزم ان کی ہے ساقی ان کا

بر سر کار وہی پیر مغاں ہے کہ جو تھا

جلوۂ یار سے کیا شکوۂ بے جا کیجے

شوق دیدار کا عالم وہ کہاں ہے کہ جو تھا

حلقۂ وعظ سے اب تک ہے گریزاں دنیا

حلقۂ زلف مدار دو جہاں ہے کہ جو تھا

میرے ہنسنے پہ خفا تھے مرے رونے پہ ہنسے

وہی رنگ ستم عشوہ گراں ہے کہ جو تھا

سنگ طفلاں سے ذرا بچ کے رہے قصر بلند

یہ وہی کار گہ شیشہ گراں ہے کہ جو تھا

دوستو ہم نفسو سنتے ہو عابدؔ کی غزل

یہ وہی شعلہ نوا سوختہ جاں ہے کہ جو تھا

سید عابد علی عابد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Ka Nishan Hai Ki Jo Tha

Syed Abid Ali Abid

gham-e-dauran gham-e-jaanan ka nishan hai ki jo tha
wasf-e-KHuban ba-hadis-e-digran hai ki jo tha

lazzat-e-arz-e-wafa rahat-e-jaan hai ki jo thi
dil-tapan ashk-e-rawan shauq-e-jawan hai ki jo tha

shara-o-ain ki tazir ke ba-wasf shabab
lab-o-ruKHsar ki jaanib nigaran hai ki jo tha

mere panw se hain uljhe hoe resham ke se tar
hamdamo ye to wahi band-e-giran hai ki jo tha

ishq ki tarz-e-takallum wahi chup hai ki jo thi
lab-e-KHush-gu-e-hawas mahw-e-bayan hai ki jo tha

rah-rau dasht mein fariyaad-kunan hain ki jo tha
KHanda-zan qafila rah-e-baran hai ki jo tha

mughbache KHush hain ki bazm un ki hai saqi un ka
bar-sar-e-kar wahi pir-e-mughan hai ki jo tha

jalwa-e-yar se kya shikwa-e-be-ja kije
shauq-e-didar ka aalam wo kahan hai ki jo tha

halqa-e-waz se ab tak hai gurezan duniya
halqa-e-zulf madar-e-do-jahan hai ki jo tha

mere hansne pe KHafa the mere rone pe hanse
wahi rang-e-sitam ishwa-giran hai ki jo tha

sang-e-tiflan se zara bach ke rahe qasr-e-buland
ye wahi kar-gah-e-shisha-garan hai ki jo tha

dosto ham-nafaso sunte ho 'abid' ki ghazal
ye wahi shoala-nawa soKHta-jaan hai ki jo tha

(347) ووٹ وصول ہوئے

You can read Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Ka Nishan Hai Ki Jo Tha written by Syed Abid Ali Abid at UrduPoint. Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Ka Nishan Hai Ki Jo Tha is one of the masterpieces written by Syed Abid Ali Abid. You can also find the complete poetry collection of Syed Abid Ali Abid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Abid Ali Abid' above.

Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Ka Nishan Hai Ki Jo Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gham-e-dauran Gham-e-jaanan Ka Nishan Hai Ki Jo Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.