Mohabbat Jism Hai Mana, Urdu Nazam By Tabassum Fatma

Mohabbat Jism Hai Mana is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Tabassum Fatma. Mohabbat Jism Hai Mana comes under the Love category of Urdu Nazam. You can read Mohabbat Jism Hai Mana on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت جسم ہے مانا

تبسم فاطمہ

کوئی آواز تھی جس کے تلاطم میں

یوں بہہ جانا کہاں منظور مجھ کو تھا

کہیں وحشت کے ان دیکھے بھنور کے سات پردے تھے

جو زندانوں میں کھلتے تھے

ہر ایک زنداں میں میں تھی

اور مری سرشار طبیعت کے ہر ایک لمحے کی سانسوں میں

کہیں میری انا تھی میری طاقت تھی محبت تھی

میں کب ایسی کسی آواز کی زد میں

محبت ڈھونڈھتی تحلیل ہوتی

اور آوارہ سی کچھ موجوں میں مل کر خود کو کھو دیتی

محبت جسم ہے مانا

مگر سرشار روحوں کی الگ بھی ایک بستی ہے

خیالوں سے پرے بھی اک نگر ہے

جس میں ہم تم زندگی کی فاقہ مستی اور اداسی اور خاموشی کے جنگل سے گزرتے ہیں

جہاں ویرانیوں کی سلطنت میں

دیدہ و نادیدہ خواب بنتے اور اجڑتے ہیں

کہیں ہم راستے کے سنگ پاروں سے الجھ کر

ایک لمحے میں ہزاروں بار جیتے اور مرتے ہیں

محبت جسم کے چھوٹے سے حجرے کے

کسی گوشے میں رہتی ہے

یہاں روزن نہیں کوئی

کہیں سے روشنی کی اک کرن اندر نہیں آتی

بہت گہرا اندھیرا ہے

تصور اور خیالوں کی گزر گاہوں پہ پہرا ہے

محبت ایک لا حاصل سفر کا ساتواں پردہ ہے

جس میں اک سمندر اس کی طغیانی خموشی کا بسیرا ہے

سمندر شانت ہوتا ہے تو پستانوں سے لہریں یوں لپٹتی ہیں

کہ جیسے گھن گرج کے بعد سرشاری کا لمحہ ہو

اسی لمحے میں وقفے میں

محبت بے کراں ہوتی ہے جیتی ہے

محبت گنگناتی اور بکھرتی ہے

محبت جاوداں ہوتی مہکتی ہے

تبسم فاطمہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Jism Hai Mana

Tabassum Fatma

koi aawaz thi jis ke talatum mein
yun bah jaana kahan manzur mujh ko tha
kahin wahshat ke an-dekhe bhanwar ke sat parde the
jo zindanon mein khulte the
har ek zindan mein main thi
aur meri sarshaar tabiat ke har ek lamhe ki sanson mein
kahin meri ana thi meri taqat thi mohabbat thi
main kab aisi kisi aawaz ki zad mein
mohabbat DhunDhti tahlil hoti
aur aawara si kuchh maujon mein mil kar KHud ko kho deti
mohabbat jism hai mana
magar sarshaar ruhon ki alag bhi ek basti hai
KHayalon se pare bhi ek nagar hai
jis mein hum tum zindagi ki faqa-masti aur udasi aur KHamoshi ke jangal se guzarte hain
jahan viraniyon ki saltanat mein
dida-o-nadida KHwab bante aur ujaDte hain
kahin hum raste ke sang-paron se ulajh kar
ek lamhe mein hazaron bar jite aur marte hain

mohabbat jism ke chhoTe se hujre ke
kisi goshe mein rahti hai
yahan rauzan nahin koi
kahin se raushni ki ek kiran andar nahin aati
bahut gahra andhera hai
tasawwur aur KHayalon ki guzargahon pe pahra hai
mohabbat ek la hasil safar ka satwan parda hai
jis mein ek samundar us ki tughyani KHamoshi ka basera hai
samundar shant hota hai to pistanon se lahren yun lipaTti hain
ki jaise ghan garaj ke ba'd sarshaari ka lamha ho
usi lamhe mein waqfe mein
mohabbat be-karan hoti hai jiti hai
mohabbat gungunati aur bikharti hai
mohabbat jawedan hoti mahakti hai

(765) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohabbat Jism Hai Mana written by Tabassum Fatma at UrduPoint. Mohabbat Jism Hai Mana is one of the masterpieces written by Tabassum Fatma. You can also find the complete poetry collection of Tabassum Fatma by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tabassum Fatma' above.

Mohabbat Jism Hai Mana is a widely read Urdu Nazam. If you like Mohabbat Jism Hai Mana, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.