Tumhaari Tegh-e-nigah-e-moajiz-numa Ne Be-maut Jis Ko Mara, Urdu Ghazal By Tabeeb Arvi

Tumhaari Tegh-e-nigah-e-moajiz-numa Ne Be-maut Jis Ko Mara is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tabeeb Arvi. Tumhaari Tegh-e-nigah-e-moajiz-numa Ne Be-maut Jis Ko Mara comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tumhaari Tegh-e-nigah-e-moajiz-numa Ne Be-maut Jis Ko Mara on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تمہاری تیغ نگاہ معجز نما نے بے موت جس کو مارا (ردیف .. ے)

طبیب آروی

تمہاری تیغ نگاہ معجز نما نے بے موت جس کو مارا

تو پاسبانی میں اس شہید وفا کی آکر اجل رہی ہے

کسی کی جٹی بھنویں ہیں یا رب کہ ذوالفقار علی کے نقشے

جو بیت لکھی صفت میں اس کی ہمیشہ ضرب المثل رہی ہے

یہ رنگ ہے عشق جاں گزا کا لہو کے ریزے نہ ان کو جانو

یہ قاش دل ہے جو آنسوؤں میں پگھل پگھل کر نکل رہی ہے

زبان جلتی ہے کیا بتاؤں میں سوز الفت کا حال ناصح

دل و جگر کیا کہ شمع آسا رگ گلو اب تو جل رہی ہے

نہیں ہے گو مجھ کو مشق اصلاً مگر میں فیض ازل کے قرباں

مشاعرے میں طبیبؔ خوش گو ہمیشہ اپنی غزل رہی ہے

طبیب آروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tumhaari Tegh-e-nigah-e-moajiz-numa Ne Be-maut Jis Ko Mara

Tabeeb Arvi

tumhaari tegh-e-nigah-e-moajiz-numa ne be-maut jis ko mara
to pasbani mein us shahid-e-wafa ki aakar ajal rahi hai

kisi ki juTTi bhanwen hain ya-rab ki zulfiqar-e-ali ke naqshe
jo bait likkhi sifat mein us ki hamesha zarbul-masal rahi hai

ye rang hai ishq-e-jaan-guza ka lahu ke reze na in ko jaano
ye qash-e-dil hai jo aansuon mein pighal pighal kar nikal rahi hai

zaban jalti hai kya bataun main soz-e-ulfat ka haal naseh
dil-o-jigar kya ki shama-asa rag-e-gulu ab to jal rahi hai

nahin hai go mujh ko mashq aslan magar main faiz-e-azal ke qurban
mushaere mein 'tabib'-e-KHush-go hamesha apni ghazal rahi hai

(331) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tumhaari Tegh-e-nigah-e-moajiz-numa Ne Be-maut Jis Ko Mara written by Tabeeb Arvi at UrduPoint. Tumhaari Tegh-e-nigah-e-moajiz-numa Ne Be-maut Jis Ko Mara is one of the masterpieces written by Tabeeb Arvi. You can also find the complete poetry collection of Tabeeb Arvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tabeeb Arvi' above.

Tumhaari Tegh-e-nigah-e-moajiz-numa Ne Be-maut Jis Ko Mara is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tumhaari Tegh-e-nigah-e-moajiz-numa Ne Be-maut Jis Ko Mara, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.