Tere Mere Jism-e-pur-asrar Mein, Urdu Nazam By Takht Singh

Tere Mere Jism-e-pur-asrar Mein is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Takht Singh. Tere Mere Jism-e-pur-asrar Mein comes under the Love category of Urdu Nazam. You can read Tere Mere Jism-e-pur-asrar Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تیرے میرے جسم پر اسرار میں

تخت سنگھ

قبل ازیں کہ نارسا ادراک سے

تہ بہ تہ ہونے نہ ہونے کے

معنی کو تو سلجھانے لگے

اس حقیقت کو سمجھ

دفن تھا صدیوں سے جو زیر زمیں

کیسے اس ایندھن کی گرمی کے طفیل

بیچ پودے بن کے لہرانے لگے

قبل ازیں کہ تیرا فکر موشگاف

مغز انساں اور اعضائے بدن کے درمیاں

ان ریشوں کے ہر ہر لچھے کے گرد

جن میں دل کی برق رو موجیں رواں ہیں

جن میں احساسات کی مہتابیاں ہیں

گردشوں پر گردشیں کھانے لگے

اس حقیقت کو سمجھ

کیوں کوئی بے برق ذرہ

اک انوکھی دھات کے

نقطہ مرکز کے بارودی عناصر سے

معاً کچھ ایسے ٹکرانے لگے

دیکھتے ہی دیکھتے

نقطہ مرکز کا جادو بھک سے اڑ جانے لگے

ہر تصادم کے عمل کا

ایک سا رد عمل

ایک سے رد عمل کا سلسلہ

بے کراں تخیل کی اڑتی حدوں سے ماورا

لا انتہا

میں نے مانا

ہم بھی صرف ایک مشت خاک ہیں

پل اگر چلے بنیں تو ہم خس و خاشاک ہیں

لیکن آتا ہے خیال

انشفاق اک ذرۂ نا چیز کا

جب بدل سکتا ہے تا حد نظر

قمقموں کی جگمگاہٹ کے تجلی زار میں

پھر تعجب کیوں

اگر دیکھوں میں جو ہر کی توانائی کا

سیل بے کراں

خیرہ‌ کناں

ذروں کے ہر آوارہ گرد انبار میں

تیرے میرے جسم پر اسرار میں

تخت سنگھ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tere Mere Jism-e-pur-asrar Mein

Takht Singh

qabl azin ki na-rasa idrak se
tah-ba-tah hone na hone ke
mani ko to suljhane lage
us haqiqat ko samajh
dafn tha sadiyon se jo zer-e-zamin
kaise us indhan ki garmi ke tufail
beach paude ban ke lahrane lage

qabl azin ki tera fikr-e-mushigaf
maghz-e-insan aur aaza-e-badan ke darmiyan
un reshon ke har har lachchhe ke gird
jin mein dil ki barq-rau maujen rawan hain
jin mein ehsasat ki mahtabiyan hain
gardishon par gardishen khane lage
us haqiqat ko samajh
kyun koi be-barq zarra
ek anokhi dhat ke
nuqta markaz ke barudi anasir se
man kuchh aise Takrane lage
dekhte hi dekhte
nuqta markaz ka jadu bhak se uD jaane lage
har tasadum ke amal ka
ek sa radd-e-amal
ek se radd-e-amal ka silsila
be-karan taKHayyul ki uDti hadon se mawara
la-intiha

main ne mana
hum bhi sirf ek musht-e-KHak hain
pal agar chale banen to hum KHas-o-KHashak hain
lekin aata hai KHayal
inshifaq ek zarra-e-na-chiz ka
jab badal sakta hai ta-hadd-e-nazar
qumqumon ki jagmagahaT ke tajalli-zar mein
phir tajjub kyun
agar dekhun mein jo har ki tawanai ka
sail-e-be-karan
KHira-kunan
zarron ke har aawara-gard ambar mein
tere mere jism-e-pur-asrar mein

(548) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tere Mere Jism-e-pur-asrar Mein written by Takht Singh at UrduPoint. Tere Mere Jism-e-pur-asrar Mein is one of the masterpieces written by Takht Singh. You can also find the complete poetry collection of Takht Singh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Takht Singh' above.

Tere Mere Jism-e-pur-asrar Mein is a widely read Urdu Nazam. If you like Tere Mere Jism-e-pur-asrar Mein, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.