Meri Chashm-e-tamasha-bin Ki Hairani Nahin Jati, Urdu Ghazal By Talat Siddiqui Nahtori

Meri Chashm-e-tamasha-bin Ki Hairani Nahin Jati is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talat Siddiqui Nahtori. Meri Chashm-e-tamasha-bin Ki Hairani Nahin Jati comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Meri Chashm-e-tamasha-bin Ki Hairani Nahin Jati on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مری چشم تماشہ بیں کہ حیرانی نہیں جاتی

طلعت صدیقی نہٹوری

مری چشم تماشہ بیں کہ حیرانی نہیں جاتی

مگر حسن ازل کی جلوہ سامانی نہیں جاتی

شہادت نوجوانان‌‌ وطن کی رنگ لاتی ہے

عمل کی راہ میں بے کار قربانی نہیں جاتی

کوئی تنکا ابھی باقی ہے شاید آشیانے میں

جو اب تک برق کی یہ شعلہ سامانی نہیں جاتی

چمن میں مدتوں سے گرچہ یہ دور بہاراں ہے

مگر اب بھی گلوں کی چاک دامانی نہیں جاتی

وہی آنکھیں جنہیں ذوق بصیرت ہم نے بخشا تھا

انہی سے اب ہماری شکل پہچانی نہیں جاتی

کبھی اپنے اشاروں پر یہ دنیا رقص کرتی تھی

مگر اب تو ہماری بات بھی مانی نہیں جاتی

چمن میں منظر بربادیٔ گل جب سے دیکھا ہے

کسی صورت مری آنکھوں کی حیرانی نہیں جاتی

تمہارے سر ہے کتنا خون ناحق بے گناہوں کا

مگر پھر بھی تمہاری پاک دامانی نہیں جاتی

ہزاروں انقلاب آئے ہیں دنیا میں مگر طلعتؔ

سکوں نا آشنا دل کی پریشانی نہیں جاتی

طلعت صدیقی نہٹوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Chashm-e-tamasha-bin Ki Hairani Nahin Jati

Talat Siddiqui Nahtori

meri chashm-e-tamasha-bin ki hairani nahin jati
magar husn-e-azal ki jalwa-samani nahin jati

shahadat naujawanan-e-watan ki rang lati hai
amal ki rah mein be-kar qurbani nahin jati

koi tinka abhi baqi hai shayad aashiyane mein
jo ab tak barq ki ye shoala-samani nahin jati

chaman mein muddaton se garche ye daur-e-bahaaran hai
magar ab bhi gulon ki chaak-damani nahin jati

wahi aankhen jinhen zauq-e-basirat hum ne baKHsha tha
unhi se ab hamari shakl pahchani nahin jati

kabhi apne ishaaron par ye duniya raqs karti thi
magar ab to hamari baat bhi mani nahin jati

chaman mein manzar-e-barbaadi-e-gul jab se dekha hai
kisi surat meri aankhon ki hairani nahin jati

tumhaare sar hai kitna KHun-e-nahaq be-gunahon ka
magar phir bhi tumhaari pak-damani nahin jati

hazaron inqalab aae hain duniya mein magar 'talat'
sukun na-ashna dil ki pareshani nahin jati

(297) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri Chashm-e-tamasha-bin Ki Hairani Nahin Jati written by Talat Siddiqui Nahtori at UrduPoint. Meri Chashm-e-tamasha-bin Ki Hairani Nahin Jati is one of the masterpieces written by Talat Siddiqui Nahtori. You can also find the complete poetry collection of Talat Siddiqui Nahtori by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talat Siddiqui Nahtori' above.

Meri Chashm-e-tamasha-bin Ki Hairani Nahin Jati is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri Chashm-e-tamasha-bin Ki Hairani Nahin Jati, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.