Apne Maqsad Mein Ye Nakaam Hui Jati Hai, Urdu Ghazal By Talib Dehlavi

Apne Maqsad Mein Ye Nakaam Hui Jati Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talib Dehlavi. Apne Maqsad Mein Ye Nakaam Hui Jati Hai comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Apne Maqsad Mein Ye Nakaam Hui Jati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اپنے مقصد میں یہ ناکام ہوئی جاتی ہے

طالب دہلوی

اپنے مقصد میں یہ ناکام ہوئی جاتی ہے

زندگی موت کا پیغام ہوئی جاتی ہے

بے کراں تلخیٔ آلام ہوئی جاتی ہے

جاوداں گردش ایام ہوئی جاتی ہے

ابتدا صورت انجام ہوئی جاتی ہے

ہر سحر میرے لئے شام ہوئی جاتی ہے

چیز جو خاص تھی وہ عام ہوئی جاتی ہے

عاشقی مفت میں بدنام ہوئی جاتی ہے

عشق میں نالہ و فریاد و فغاں کیا معنی

آہ بھی مورد الزام ہوئی جاتی ہے

کیا کوئی اور نہیں یاد خدا کی صورت

بندگی مشغلۂ عام ہوئی جاتی ہے

بے خودی کے لئے سامان بہم ہیں لاکھوں

کیوں یہ پابند مئے و جام ہوئی جاتی ہے

شوق بے حد کی قسم ذوق فراواں کی قسم

ابھی پختہ روش خام ہوئی جاتی ہے

دیکھ کر حضرت انساں کی یہ خون آشامی

موت بھی لرزہ بر اندام ہوئی جاتی ہے

اہل دانش جسے کرتے ہیں یقیں سے تعبیر

وہ بھی من جملۂ اوہام ہوئی جاتی ہے

جذبۂ شوق کو اللہ سلامت رکھے

کامراں حسرت ناکام ہوئی جاتی ہے

مقصد عشق کی تعمیر میں کیا حاجت غیر

خود نظر صرف در و بام ہوئی جاتی ہے

کعبۂ دل میں ہے اب شغل صنم سازیٔ حسن

آذری شیوۂ اسلام ہوئی جاتی ہے

عزم رہرو کی گرانی کا اثر ہے کیا خوب

سخت منزل بھی تہہ گام ہوئی جاتی ہے

وجد کرتی ہے غزل پر مری روح حافظؔ

یہ بھی فرمودۂ خیامؔ ہوئی جاتی ہے

اللہ اللہ یہ انداز تکلم طالبؔ

شاعری آپ کی الہام ہوئی جاتی ہے

طالب دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Apne Maqsad Mein Ye Nakaam Hui Jati Hai

Talib Dehlavi

apne maqsad mein ye nakaam hui jati hai
zindagi maut ka paigham hui jati hai

be-karan talKHi-e-alam hui jati hai
jawedan gardish-e-ayyam hui jati hai

ibtida surat-e-anjam hui jati hai
har sahar mere liye sham hui jati hai

chiz jo KHas thi wo aam hui jati hai
aashiqi muft mein badnam hui jati hai

ishq mein nala-o-faryaad-o-fughan kya mani
aah bhi morid-e-ilzam hui jati hai

kya koi aur nahin yaad-e-KHuda ki surat
bandagi mashghala-e-am hui jati hai

be-KHudi ke liye saman baham hain lakhon
kyun ye paband-e-mai-o-jam hui jati hai

shauq-e-behad ki qasam zauq-e-farawan ki qasam
abhi puKHta rawish-e-KHam hui jati hai

dekh kar hazrat-e-insan ki ye KHun-ashami
maut bhi larza-bar-andam hui jati hai

ahl-e-danish jise karte hain yaqin se tabir
wo bhi min-jumla-e-auham hoi jati hai

jazba-e-shauq ko allah salamat rakkhe
kaamran hasrat-e-nakaam hui jati hai

maqsad-e-ishq ki tamir mein kya hajat-e-ghair
KHud nazar sarf-e-dar-o-baam hui jati hai

kaba-e-dil mein hai ab shughl-e-sanam-sazi-e-husn
aazari shewa-e-islam hui jati hai

azm-e-rahraw ki girani ka asar hai kya KHub
saKHt manzil bhi tah-e-gam hui jati hai

wajd karti hai ghazal par meri ruh-e-'hafiz'
ye bhi farmuda-e-‘KHayyam’ hui jati hai

allah allah ye andaz-e-takallum 'talib'
shairi aap ki ilham hui jati hai

(601) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Apne Maqsad Mein Ye Nakaam Hui Jati Hai written by Talib Dehlavi at UrduPoint. Apne Maqsad Mein Ye Nakaam Hui Jati Hai is one of the masterpieces written by Talib Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Talib Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talib Dehlavi' above.

Apne Maqsad Mein Ye Nakaam Hui Jati Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Apne Maqsad Mein Ye Nakaam Hui Jati Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.