In Dinon Haq Jo Baat Kahte Hain, Urdu Ghazal By Talib Dehlavi

In Dinon Haq Jo Baat Kahte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talib Dehlavi. In Dinon Haq Jo Baat Kahte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read In Dinon Haq Jo Baat Kahte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ان دنوں حق جو بات کہتے ہیں

طالب دہلوی

ان دنوں حق جو بات کہتے ہیں

جان سے دھو کے ہات کہتے ہیں

حسن کو نور ذات کہتے ہیں

عشق کی کائنات کہتے ہیں

دل کو جو بے ثبات کہتے ہیں

دن کو گویا وہ رات کہتے ہیں

جس کی معراج خود شناسی ہو

ہم اسے وصل ذات کہتے ہیں

ان کی ہمت پہ آفریں کہئے

جو اجل کو حیات کہتے ہیں

جان کا جسم سے جدا ہونا

کیا اسی کو نجات کہتے ہیں

کعبۂ دل ہے جلوہ گاہ بتاں

ہم اسے سومنات کہتے ہیں

ہوئے جاتے ہیں آپ کیوں برہم

ہم زمانے کی بات کہتے ہیں

نگہ قہر کو بھی دل والے

نگہ التفات کہتے ہیں

تم پر اپنا گمان ہوتا ہے

تم سے جب دل کی بات کہتے ہیں

بادۂ خوش گوار ہے ساقی

جسے آب حیات کہتے ہیں

کیا ہمیں گفتگو سے مطلب تھا

بات آنے پہ بات کہتے ہیں

جوہر روح کا پسینہ ہے

جسے عطر حیات کہتے ہیں

مس نہیں کچھ جنہیں تغزل سے

فلسفے کے نکات کہتے ہیں

ملتفت اپنی سمت کرنا ہے

تمہیں بے التفات کہتے ہیں

عیب جن کے ہنر سے ہوں طالبؔ

انہیں عالی صفات کہتے ہیں

طالب دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

In Dinon Haq Jo Baat Kahte Hain

Talib Dehlavi

in dinon haq jo baat kahte hain
jaan se dho ke hat kahte hain

husn ko nur-e-zat kahte hain
ishq ki kaenat kahte hain

dil ko jo be-sabaat kahte hain
din ko goya wo raat kahte hain

jis ki mearaj KHud-shanasi ho
hum use wasl-e-zat kahte hain

un ki himmat pe aafrin kahiye
jo ajal ko hayat kahte hain

jaan ka jism se juda hona
kya isi ko najat kahte hain

kaba-e-dil hai jalwa-gah-e-butan
hum ise somnat kahte hain

hue jate hain aap kyun barham
hum zamane ki baat kahte hain

nigah-e-qahr ko bhi dil wale
nigah-e-iltifat kahte hain

tum par apna guman hota hai
tum se jab dil ki baat kahte hain

baada-e-KHush-gawar hai saqi
jise aab-e-hayat kahte hain

kya hamein guftugu se matlab tha
baat aane pe baat kahte hain

jauhar-e-ruh ka pasina hai
jise itr-e-hayat kahte hain

mas nahin kuchh jinhen taghazzul se
falsafe ke nikat kahte hain

multafit apni samt karna hai
tumhein be-iltifat kahte hain

aib jin ke hunar se hon 'talib'
unhen aali sifat kahte hain

(445) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read In Dinon Haq Jo Baat Kahte Hain written by Talib Dehlavi at UrduPoint. In Dinon Haq Jo Baat Kahte Hain is one of the masterpieces written by Talib Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Talib Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talib Dehlavi' above.

In Dinon Haq Jo Baat Kahte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like In Dinon Haq Jo Baat Kahte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.