Na Kufr Ki Na Kabhi Humse Din Ki Baat Karo, Urdu Ghazal By Talib Dehlavi

Na Kufr Ki Na Kabhi Humse Din Ki Baat Karo is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talib Dehlavi. Na Kufr Ki Na Kabhi Humse Din Ki Baat Karo comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Na Kufr Ki Na Kabhi Humse Din Ki Baat Karo on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ کفر کی نہ کبھی ہم سے دیں کی بات کرو

طالب دہلوی

نہ کفر کی نہ کبھی ہم سے دیں کی بات کرو

کسی کی زلف کسی کی جبیں کی بات کرو

فضول کیوں فلک ہفتمیں کی بات کرو

جہاں پہنچ ہو تمہاری وہیں کی بات کرو

یہ بار بار ہے کیا ذکر زال دنیا کا

کسی حسیں کسی زہرہ جبیں کی بات کرو

بسی ہوئی ہے جو خوابوں میں روز اول سے

اگر کرو تو اسی نازنیں کی بات کرو

شعور و عقل میں یخ بستگی کا عالم ہے

نگاہ گرم رخ آتشیں کی بات کرو

جنوں زدوں کو اب اسباب ہوش ہے لعنت

نہ جیب کی نہ کبھی آستیں کی بات کرو

ہزار رنگ ہے جس سے حیات کا دامن

کرو تو حسن حیات آفریں کی بات کرو

یہ کیا کہ جب بھی ملو روئے جاؤ قسمت کو

کبھی تو خیر سے عزم و یقیں کی بات کرو

جناب شیخ بس اتنی سی عرض ہے اپنی

زمیں پہ رہ کے نہ عرش بریں کی بات کرو

وطن میں رہ کے وطن کا ہو تذکرہ پہلے

پھر اختیار ہے چاہے کہیں کی بات کرو

ازل سے گود میں جس کی پلے ہو اے طالبؔ

زبان شکر سے اس سر زمیں کی بات کرو

طالب دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Kufr Ki Na Kabhi Humse Din Ki Baat Karo

Talib Dehlavi

na kufr ki na kabhi hum se din ki baat karo
kisi ki zulf kisi ki jabin ki baat karo

fuzul kyun falak-e-haftamin ki baat karo
jahan pahunch ho tumhaari wahin ki baat karo

ye bar bar hai kya zikr zal-e-duniya ka
kisi hasin kisi zohra-jabin ki baat karo

basi hui hai jo KHwabon mein roz-e-awwal se
agar karo to usi naznin ki baat karo

shuur-o-aql mein yaKH-bastagi ka aalam hai
nigah-e-garm ruKH-e-atishin ki baat karo

junun-zadon ko ab asbab-e-hosh hai lanat
na jeb ki na kabhi aastin ki baat karo

hazar-rang hai jis se hayat ka daman
karo to husn-e-hayat-afrin ki baat karo

ye kya ki jab bhi milo roe jao qismat ko
kabhi to KHair se azm-o-yaqin ki baat karo

janab-e-shaiKH bas itni si arz hai apni
zamin pe rah ke na arsh-e-barin ki baat karo

watan mein rah ke watan ka ho tazkira pahle
phir iKHtiyar hai chahe kahin ki baat karo

azal se god mein jis ki pale ho ai 'talib'
zaban-e-shukr se us sar-zamin ki baat karo

(418) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Kufr Ki Na Kabhi Humse Din Ki Baat Karo written by Talib Dehlavi at UrduPoint. Na Kufr Ki Na Kabhi Humse Din Ki Baat Karo is one of the masterpieces written by Talib Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Talib Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talib Dehlavi' above.

Na Kufr Ki Na Kabhi Humse Din Ki Baat Karo is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Kufr Ki Na Kabhi Humse Din Ki Baat Karo, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.