Shikwe Ki Baat Hai Na Shikayat Ki Baat Hai, Urdu Ghazal By Talib Dehlavi

Shikwe Ki Baat Hai Na Shikayat Ki Baat Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talib Dehlavi. Shikwe Ki Baat Hai Na Shikayat Ki Baat Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shikwe Ki Baat Hai Na Shikayat Ki Baat Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شکوہ کی بات ہے نہ شکایت کی بات ہے

طالب دہلوی

شکوہ کی بات ہے نہ شکایت کی بات ہے

آپس کی گفتگو ہے محبت کی بات ہے

ایثار چاہتی ہے محبت بہ نام ترک

اب امتحان ظرف ہے ہمت کی بات ہے

بت خانے میں بھی نور خدا دیکھتا ہوں میں

جی ہاں یہ میرے حسن عقیدت کی بات ہے

کیوں دوسروں کی زیست سے لیتا نہیں سبق

جو بات آدمی کی ہے حیرت کی بات ہے

جو تجھ کو نا پسند ہے اوروں کو ہے پسند

یہ اپنے اپنے ذوق و طبیعت کی بات ہے

سنئے تو شیخ جی کی ذرا لن ترانیاں

حوروں کا ذکر خیر ہے جنت کی بات ہے

شیخ حرم کا ذکر نہیں ہے مرے ندیم

پیر مغاں کے کشف و کرامت کی بات ہے

سیرت ہی جب نہیں ہے تو صورت کا ذکر کیا

صورت کا کیا سوال ہے سیرت کی بات ہے

تو اور بد گمان ہو کہنے سے غیر کے

شکوہ کا ہے مقام شکایت کی بات ہے

مجھ سے قریب ہو کے بہت دور ہو گئے

یہ بھی مرا نصیب ہے قسمت کی بات ہے

یہ شاعری یہ آپ کا ذوق مطالعہ

فرصت کا مشغلہ ہے فراغت کی بات ہے

میں بے ادب نہیں ہوں رہیں آپ مطمئن

خلوت ہی میں کہوں گا جو خلوت کی بات ہے

اغیار کو بھی اتنا تو آخر ہے اعتراف

طالبؔ کی بات بات صداقت کی بات ہے

طالب دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shikwe Ki Baat Hai Na Shikayat Ki Baat Hai

Talib Dehlavi

shikwe ki baat hai na shikayat ki baat hai
aapas ki guftugu hai mohabbat ki baat hai

isar chahti hai mohabbat ba-nam-e-tark
ab imtihan-e-zarf hai himmat ki baat hai

but-KHane mein bhi nur-e-KHuda dekhta hun mein
ji han ye mere husn-e-aqidat ki baat hai

kyun dusron ki zist se leta nahin sabaq
jo baat aadmi ki hai hairat ki baat hai

jo tujh ko na-pasand hai auron ko hai pasand
ye apne apne zauq-o-tabiat ki baat hai

suniye to shaiKH ji ki zara lan-taraniyan
huron ka zikr-e-KHair hai jannat ki baat hai

shaiKH-e-haram ka zikr nahin hai mere nadim
pir-e-mughan ke kashf-o-karamat ki baat hai

sirat hi jab nahin hai to surat ka zikr kya
surat ka kya sawal hai sirat ki baat hai

tu aur bad-guman ho kahne se ghair ke
shikwe ka hai maqam shikayat ki baat hai

mujh se qarib ho ke bahut dur ho gae
ye bhi mera nasib hai qismat ki baat hai

ye shairi ye aap ka zauq-e-mutala
fursat ka mashghala hai faraghat ki baat hai

main be-adab nahin hun rahen aap mutmain
KHalwat hi mein kahunga jo KHalwat ki baat hai

aghyar ko bhi itna to aaKHir hai e'tiraf
'talib' ki baat baat sadaqat ki baat hai

(658) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shikwe Ki Baat Hai Na Shikayat Ki Baat Hai written by Talib Dehlavi at UrduPoint. Shikwe Ki Baat Hai Na Shikayat Ki Baat Hai is one of the masterpieces written by Talib Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Talib Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talib Dehlavi' above.

Shikwe Ki Baat Hai Na Shikayat Ki Baat Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shikwe Ki Baat Hai Na Shikayat Ki Baat Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.