Hum Nahin Milte Nahin Milte Hain Hum Sham Ke Baad, Urdu Ghazal By Abdul Qadir

Hum Nahin Milte Nahin Milte Hain Hum Sham Ke Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdul Qadir. Hum Nahin Milte Nahin Milte Hain Hum Sham Ke Baad comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Hum Nahin Milte Nahin Milte Hain Hum Sham Ke Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم نہیں ملتے نہیں ملتے ہیں ہم شام کے بعد

عبدالقادر

ہم نہیں ملتے نہیں ملتے ہیں ہم شام کے بعد

پھر بھی آ جاتے ہیں کچھ اہل کرم شام کے بعد

دن وہ ظالم ہے کہ ڈھاتا ہے ستم شام کے بعد

بڑھتا جاتا ہے مرا کوہ الم شام کے بعد

جانے لگ جاتے ہیں سب سوئے حرم شام کے بعد

اور وہاں پھر سے وہی جھوٹی قسم شام کے بعد

اپنی یادوں سے غم شام کی چھٹی رکھیں

ہونے لگ جاتی ہے آنکھ اور بھی نم شام کے بعد

بیوی بچوں کی ہنسی اصل کمائی ہے مری

بس یہی بچتی ہے لے دے کے رقم شام کے بعد

میکدہ سارے مسائل کو مٹا دیتا ہے

مسئلہ دیں کا وہاں ہے نہ دھرم شام کے بعد

دن میں تو خوب ستائش کی سند ملتی ہے

کھلتے جاتے ہیں مرے سارے بھرم شام کے بعد

وہ جو جاتا ہے تو مجھ کو بھی لئے جاتا ہے

ہائے ہو جاتا ہوں میں اور بھی کم شام کے بعد

آج کیا لینا ہے کیا کھانا ہے عبدالقادرؔ

سر اٹھائے ہوئے پھرتے ہیں یہ غم شام کے بعد

عبدالقادر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hum Nahin Milte Nahin Milte Hain Hum Sham Ke Baad

Abdul Qadir

hum nahin milte nahin milte hain hum sham ke baad
phir bhi aa jate hain kuchh ahl-e-karam sham ke baad

din wo zalim hai ki Dhata hai sitam sham ke baad
baDhta jata hai mera koh-e-alam sham ke baad

jaane lag jate hain sab su-e-haram sham ke baad
aur wahan phir se wahi jhuTi qasam sham ke baad

apni yaadon se gham-e-sham ki chhuTTi rakkhen
hone lag jati hai aankh aur bhi nam sham ke baad

biwi bachchon ki hansi asl kamai hai meri
bas yahi bachti hai le de ke raqam sham ke baad

mai-kada sare masail ko miTa deta hai
masala din ka wahan hai na dharam sham ke baad

din mein to KHub sataish ki sanad milti hai
khulte jate hain mere sare bharam sham ke baad

wo jo jata hai to mujh ko bhi liye jata hai
hae ho jata hun main aur bhi kam sham ke baad

aaj kya lena hai kya khana hai 'abdul-qadir'
sar uThae hue phirte hain ye gham sham ke baad

(634) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hum Nahin Milte Nahin Milte Hain Hum Sham Ke Baad written by Abdul Qadir at UrduPoint. Hum Nahin Milte Nahin Milte Hain Hum Sham Ke Baad is one of the masterpieces written by Abdul Qadir. You can also find the complete poetry collection of Abdul Qadir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdul Qadir' above.

Hum Nahin Milte Nahin Milte Hain Hum Sham Ke Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hum Nahin Milte Nahin Milte Hain Hum Sham Ke Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.