Ek Nazm, Urdu Nazam By Abdur Rasheed

Ek Nazm is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Abdur Rasheed. Ek Nazm comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Ek Nazm on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایک نظم

عبدالرشید

گاڑی گزر گئی

دھوئیں اور دھول کی چھتری نے

مٹی کو ڈھانپ دیا

کبوتر خوش الحان مؤذن کے

اعراب جڑے جملوں کے بیچ

کابک سے سر ٹکراتا ہے

ٹوٹی میز پہ میں نے آنکھیں رکھی ہیں

اور گٹھری بن کر

کرسی پہ بیٹھا ہوں

میں جو اپنے میلے کفن کی سوندھی خوشبو

سونگھ چکا ہوں جان گیا ہوں

اک یا دو فرلانگ فرار کا راستہ ہے

جینا جیتے رہنا ہی نعمت ہے

جنگل ہے اور گریے کی شاخوں سے دست سوال

کاسہ بن کر لٹکا ہے

میں کاسے میں چھپ کر بیٹھا ہوں

گھر کا سارا ساز و سامان بیچ کر نکلا ہوں

یہ سوچ کر گھر سے نکلا ہوں

عبدالرشید

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Nazm

Abdur Rasheed

gaDi guzar gai
dhuen aur dhul ki chhatri ne
miTTi ko Dhanp diya

kabutar KHush-ilhan muazzin ke
erab juDe jumlon ke bich
kabuk se sar Takraata hai

TuTi mez pe main ne aankhen rakhi hain
aur gaThri ban kar
kursi pe baiTha hun

main jo apne maile kafan ki sondhi KHushbu
sungh chuka hun jaan gaya hun
ek ya do farlang farar ka rasta hai
jina jite rahna hi neamat hai
jangal hai aur girye ki shaKHon se dast-e-sawal
kasa ban kar laTka hai
main kase mein chhup kar baiTha hun
ghar ka sara saz-o-saman bech kar nikla hun
ye soch kar ghar se nikla hun

(700) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ek Nazm written by Abdur Rasheed at UrduPoint. Ek Nazm is one of the masterpieces written by Abdur Rasheed. You can also find the complete poetry collection of Abdur Rasheed by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdur Rasheed' above.

Ek Nazm is a widely read Urdu Nazam. If you like Ek Nazm, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.