Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya, Urdu Ghazal By Abu Mohammad Wasil Bahraichi

Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abu Mohammad Wasil Bahraichi. Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya comes under the Love, Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آگے وہ جا بھی چکے لطف نظارہ بھی گیا

ابو محمد واصل بہرائچی

آگے وہ جا بھی چکے لطف نظارہ بھی گیا

چشم غفلت نہ کھلی صبح کا تارا بھی گیا

سرد مہری سے تری گرمئ الفت نہ رہی

دل میں اٹھتا تھا جو ہر دم وہ شرارہ بھی گیا

دل کے آئینے میں جب آپ کی صورت دیکھی

جس کو دھوکا میں سمجھتا تھا وہ دھوکا بھی گیا

عشق کو تاب تجلی نہیں کیا دیکھے گا

حسن یہ جان کے پردوں کو اٹھاتا بھی گیا

کس نے پائی ہے غم یار محبت سے نجات

عشق کا بوجھ کہیں سر سے اتارا بھی گیا

تیرے قدموں پہ جو لذت ہے وہ حاصل نہ ہوئی

یوں تو سجدے میں سر عجز جھکایا بھی گیا

دل کی آشفتہ مزاجی میں نہ کچھ فرق آیا

بارہا زلف پریشاں کو سنوارا بھی گیا

مانگنے سے کہیں یہ چیز ملا کرتی ہے

دل چرانے ہی کے قابل تھا چرایا بھی گیا

بے خودی تجھ پہ تصدق ہوں مرے ہوش و حواس

سامنے ہوتے ہوئے ان کو پکارا بھی گیا

ایک ہی چیز ہے پردے میں کہ بیرون حجاب

مجھ کو ظاہر بھی کیا خود کو چھپایا بھی گیا

پھر بھی آنکھیں رہیں محروم تماشائے جمال

ان کی تصویر کو شیشے میں اتارا بھی گیا

چھوڑ کر مجھ کو بھنور میں نہ خبر لی میری

اک سہارا تھا تمہارا وہ سہارا بھی گیا

پائے محبوب پہ سر رکھ کے ہوئے ہم واصلؔ

زندگی پائی نئی موت کا دھڑکا بھی گیا

دل کے آئینے میں نادیدہ تجلی دیکھی

خود نمائی کا بھلا ہو کہ وہ پردا بھی گیا

ابو محمد واصل بہرائچی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

aage wo ja bhi chuke lutf-e-nazara bhi gaya
chashm-e-ghaflat na khuli subh ka tara bhi gaya

sard-mehri se teri garmi-e-ulfat na rahi
dil mein uThta tha jo har-dam wo sharara bhi gaya

dil ke aaine mein jab aap ki surat dekhi
jis ko dhoka main samajhta tha wo dhoka bhi gaya

ishq ko tab-e-tajalli nahin kya dekhega
husn ye jaan ke pardon ko uThata bhi gaya

kis ne pai hai gham-e-yar-e-mohabbat se najat
ishq ka bojh kahin sar se utara bhi gaya

tere qadmon pe jo lazzat hai wo hasil na hui
yun to sajde mein sar-e-ijz jhukaya bhi gaya

dil ki aashufta-mizaji mein na kuchh farq aaya
barha zulf-e-pareshan ko sanwara bhi gaya

mangne se kahin ye chiz mila karti hai
dil churane hi ke qabil tha churaya bhi gaya

be-KHudi tujh pe tasadduq hon mere hosh-o-hawas
samne hote hue un ko pukara bhi gaya

ek hi chiz hai parde mein ki bairun-e-hijab
mujh ko zahir bhi kiya KHud ko chhupaya bhi gaya

phir bhi aankhen rahin mahrum-e-tamasha-e-jamal
un ki taswir ko shishe mein utara bhi gaya

chhoD kar mujh ko bhanwar mein na KHabar li meri
ek sahaara tha tumhaara wo sahaara bhi gaya

pa-e-mahbub pe sar rakh ke hue hum 'wasil'
zindagi pai nai maut ka dhaDka bhi gaya

dil ke aaine mein nadida tajalli dekhi
KHud-numai ka bhala ho ki wo parda bhi gaya

(1253) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya written by Abu Mohammad Wasil Bahraichi at UrduPoint. Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya is one of the masterpieces written by Abu Mohammad Wasil Bahraichi. You can also find the complete poetry collection of Abu Mohammad Wasil Bahraichi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abu Mohammad Wasil Bahraichi' above.

Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.