Ab Dil Bhi Dukhao To Aziyyat Nahin Hoti, Urdu Ghazal By Akram Mahmud

Ab Dil Bhi Dukhao To Aziyyat Nahin Hoti is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akram Mahmud. Ab Dil Bhi Dukhao To Aziyyat Nahin Hoti comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ab Dil Bhi Dukhao To Aziyyat Nahin Hoti on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اب دل بھی دکھاؤ تو اذیت نہیں ہوتی

اکرم محمود

اب دل بھی دکھاؤ تو اذیت نہیں ہوتی

حیرت ہے کسی بات پہ حیرت نہیں ہوتی

اب درد بھی اک حد سے گزرنے نہیں پاتا

اب ہجر میں وہ پہلی سی وحشت نہیں ہوتی

ہوتا ہے تو بس ایک ترے ہجر کا شکوہ

ورنہ تو ہمیں کوئی شکایت نہیں ہوتی

کر دیتا ہے بے ساختہ بانہوں کو کشادہ

جب بچ کے نکل جانے کی صورت نہیں ہوتی

دل خوش جو نہیں رہتا تو اس کا بھی سبب ہے

موجود کوئی وجہ مسرت نہیں ہوتی

یوں بر سر پیکار ہوں میں خود سے مسلسل

اب اس سے الجھنے کی بھی فرصت نہیں ہوتی

اب یوں بھی نہیں ہے کہ وہ اچھا نہیں لگتا

یوں ہے کہ ملاقات کی صورت نہیں ہوتی

یہ ہجر مسلسل کا وظیفہ ہے مری جاں

اک ترک سکونت ہی تو ہجرت نہیں ہوتی

دو چار برس جتنے بھی ہیں جبر ہی سہہ لیں

اس عمر میں اب ہم سے بغاوت نہیں ہوتی

اکرم محمود

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ab Dil Bhi Dukhao To Aziyyat Nahin Hoti

Akram Mahmud

ab dil bhi dukhao to aziyyat nahin hoti
hairat hai kisi baat pe hairat nahin hoti

ab dard bhi ek had se guzarne nahin pata
ab hijr mein wo pahli si wahshat nahin hoti

hota hai to bas ek tere hijr ka shikwa
warna to hamein koi shikayat nahin hoti

kar deta hai be-saKHta banhon ko kushada
jab bach ke nikal jaane ki surat nahin hoti

dil KHush jo nahin rahta to is ka bhi sabab hai
maujud koi wajh-e-masarrat nahin hoti

yun bar-sar-e-paikar hun main KHud se musalsal
ab us se ulajhne ki bhi fursat nahin hoti

ab yun bhi nahin hai ki wo achchha nahin lagta
yun hai ki mulaqat ki surat nahin hoti

ye hijr-e-musalsal ka wazifa hai meri jaan
ek tark-e-sukunat hi to hijrat nahin hoti

do chaar baras jitne bhi hain jabr hi sah len
is umr mein ab hum se baghawat nahin hoti

(637) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ab Dil Bhi Dukhao To Aziyyat Nahin Hoti written by Akram Mahmud at UrduPoint. Ab Dil Bhi Dukhao To Aziyyat Nahin Hoti is one of the masterpieces written by Akram Mahmud. You can also find the complete poetry collection of Akram Mahmud by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akram Mahmud' above.

Ab Dil Bhi Dukhao To Aziyyat Nahin Hoti is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ab Dil Bhi Dukhao To Aziyyat Nahin Hoti, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.