Mujhe Dair Bhi Ho Kyun Kar Na Haram Ki Tarah Pyara, Urdu Ghazal By Amjad Najmi

Mujhe Dair Bhi Ho Kyun Kar Na Haram Ki Tarah Pyara is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Amjad Najmi. Mujhe Dair Bhi Ho Kyun Kar Na Haram Ki Tarah Pyara comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mujhe Dair Bhi Ho Kyun Kar Na Haram Ki Tarah Pyara on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مجھے دیر بھی ہو کیوں کر نہ حرم کی طرح پیارا

امجد نجمی

مجھے دیر بھی ہو کیوں کر نہ حرم کی طرح پیارا

تو یہاں بھی جلوہ آرا تو وہاں بھی جلوہ آرا

ہے عجیب یہ تماشا ہے عجیب یہ نظارا

مری آہوں کا شرارہ مرے آنسوؤں کا دھارا

وہ پیام شام غم ہو کہ نوید صبح عشرت

مجھے یہ بھی ہے گوارا مجھے وہ بھی ہے گوارا

یوں ہی مجھ کو ڈوبنے دو انہیں موج ہائے غم میں

کہ محیط غم کا شاید ابھی دور ہے کنارا

نہ فروغ روئے تاباں نہ نگاہ نور افشاں

مرے اضطراب دل سے مرا راز آشکارا

کوئی کیا سمجھ سکے گا یہ ہے فیض عشق جس نے

مجھے اس طرح بگاڑا مجھے اس طرح سنوارا

کوئی چیز بھی ہے قسمت کوئی شے بھی ہے مقدر

کہ میں اپنی کوششوں میں یہاں بار بار ہارا

یہ ہجوم ناامیدی یہ وفور نا مرادی

ہوں عجب مصیبتوں میں میں مصیبتوں کا مارا

مجھے علم اس کا کیا تھا مجھے کیا خبر تھی نجمیؔ

کہ مجھی کو پھونک دے گا مرے عشق کا شرارا

امجد نجمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mujhe Dair Bhi Ho Kyun Kar Na Haram Ki Tarah Pyara

Amjad Najmi

mujhe dair bhi ho kyun kar na haram ki tarah pyara
tu yahan bhi jalwa-ara tu wahan bhi jalwa-ara

hai ajib ye tamasha hai ajib ye nazara
meri aahon ka sharara mere aansuon ka dhaara

wo payam-e-sham-e-gham ho ki nawed-e-subh-e-ishrat
mujhe ye bhi hai gawara mujhe wo bhi hai gawara

yunhi mujh ko Dubne do inhin mauj-ha-e-gham mein
ki muhit-e-gham ka shayad abhi dur hai kinara

na farogh-e-ru-e-taban na nigah-e-nur-afshan
mere iztirab-e-dil se mera raaz aashkara

koi kya samajh sakega ye hai faiz-e-ishq jis ne
mujhe is tarah bigaDa mujhe is tarah sanwara

koi chiz bhi hai qismat koi shai bhi hai muqaddar
ki main apni koshishon mein yahan bar-bar haara

ye hujum-e-na-umidi ye wufur-e-na-muradi
hun ajab musibaton mein main musibaton ka mara

mujhe ilm is ka kya tha mujhe kya KHabar thi 'najmi'
ki mujhi ko phunk dega mere ishq ka sharara

(486) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mujhe Dair Bhi Ho Kyun Kar Na Haram Ki Tarah Pyara written by Amjad Najmi at UrduPoint. Mujhe Dair Bhi Ho Kyun Kar Na Haram Ki Tarah Pyara is one of the masterpieces written by Amjad Najmi. You can also find the complete poetry collection of Amjad Najmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Amjad Najmi' above.

Mujhe Dair Bhi Ho Kyun Kar Na Haram Ki Tarah Pyara is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mujhe Dair Bhi Ho Kyun Kar Na Haram Ki Tarah Pyara, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.