Insan Ke Liye Is Duniya Mein Dushnam Se Bachna Mushkil Hai, Urdu Ghazal By Anand Narayan Mulla

Insan Ke Liye Is Duniya Mein Dushnam Se Bachna Mushkil Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anand Narayan Mulla. Insan Ke Liye Is Duniya Mein Dushnam Se Bachna Mushkil Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Insan Ke Liye Is Duniya Mein Dushnam Se Bachna Mushkil Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

انسان کے لئے اس دنیا میں دشنام سے بچنا مشکل ہے

آنند نرائن ملا

انسان کے لئے اس دنیا میں دشنام سے بچنا مشکل ہے

تقصیر سے بچنا ممکن ہے الزام سے بچنا مشکل ہے

طائر کے لئے دشوار نہیں صیاد و قفس سے دور رہے

لیکن جو شکل نشیمن ہے اس دام سے بچنا مشکل ہے

دامن کو بچا بھی لیں شاید صحرا کے نکیلے کانٹوں سے

گلشن کے مگر گل ہائے شرر اندام سے بچنا مشکل ہے

اس حادثہ گاہ ہستی میں ٹکرائیں گے دو دل کچھ بھی کرو

پریوں کے لیے وہ لاکھ اڑیں گلفام سے بچنا مشکل ہے

اوہام کی تاریکی تو مٹا سکتے ہیں جلا کر شمع خرد

لیکن خود عقل کے زائیدہ اوہام سے بچنا مشکل ہے

اے ارض سحر کے راہروو منزل پہ پہنچنے سے پہلے

ہر قافلہ جس نے لوٹ لیا اس شام سے بچنا مشکل ہے

کچھ قطرۂ مے اوپر اوپر پھر درد ہی درد اندر اندر

آغاز محبت خوب مگر انجام سے بچنا مشکل ہے

اک خوں اور گوشت کے انساں کا معبود تری جنت کی قسم

حوروں سے چرانا آنکھ آساں اصنام سے بچنا مشکل ہے

انسان کی ہے اولاد اگر وہ ملاؔ ہو یا اور کوئی

ہنگام جوانی فلسفۂ خیامؔ سے بچنا مشکل ہے

آنند نرائن ملا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Insan Ke Liye Is Duniya Mein Dushnam Se Bachna Mushkil Hai

Anand Narayan Mulla

insan ke liye is duniya mein dushnam se bachna mushkil hai
taqsir se bachna mumkin hai ilzam se bachna mushkil hai

tair ke liye dushwar nahin sayyaad-o-qafas se dur rahe
lekin jo shakl-e-nasheman hai us dam se bachna mushkil hai

daman ko bacha bhi len shayad sahra ke nukile kanTon se
gulshan ke magar gul-ha-e-sharar-andam se bachna mushkil hai

is hadisa-gah-e-hasti mein Takraenge do dil kuchh bhi karo
pariyon ke liye wo lakh uDen gulfam se bachna mushkil hai

auham ki tariki to miTa sakte hain jala kar shama-e-KHirad
lekin KHud aql ke zaida auham se bachna mushkil hai

ai arz-e-sahar ke rah-rawo manzil pe pahunchne se pahle
har qafila jis ne luT liya us sham se bachna mushkil hai

kuchh qatra-e-mai upar upar phir dard hi dard andar andar
aaghaz-e-mohabbat KHub magar anjam se bachna mushkil hai

ek KHun aur gosht ke insan ka mabud teri jannat ki qasam
huron se churana aankh aasan asnam se bachna mushkil hai

insan ki hai aulad agar wo 'mulla' ho ya aur koi
hangam-e-jawani falsafa-e-'KHayam' se bachna mushkil hai

(548) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Insan Ke Liye Is Duniya Mein Dushnam Se Bachna Mushkil Hai written by Anand Narayan Mulla at UrduPoint. Insan Ke Liye Is Duniya Mein Dushnam Se Bachna Mushkil Hai is one of the masterpieces written by Anand Narayan Mulla. You can also find the complete poetry collection of Anand Narayan Mulla by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anand Narayan Mulla' above.

Insan Ke Liye Is Duniya Mein Dushnam Se Bachna Mushkil Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Insan Ke Liye Is Duniya Mein Dushnam Se Bachna Mushkil Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.