Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati, Urdu Ghazal By Anwar Dehlvi

Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwar Dehlvi. Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے بھی اور پھر نظر نہیں آتی

انور دہلوی

ہے بھی اور پھر نظر نہیں آتی

دھیان میں وہ کمر نہیں آتی

مانگتا ہوں مگر نہیں آتی

یہ اجل وقت پر نہیں آتی

تیرے کشتوں کا روز حشر حساب

غیرت او فتنہ گر نہیں آتی

طبع اپنی بھی ایک آندھی ہے

خاک اڑانی مگر نہیں آتی

ابر کس کس طرح برستا ہے

شرم اے چشم تر نہیں آتی

تم تو یوں محو ظلم ہو کہ ہمیں

آہ کرنی مگر نہیں آتی

نذر کچھ کر کے دل کو لے کہ یہ جنس

مفت اے مفت بر نہیں آتی

مختصر حال درد دل یہ ہے

موت اے چارہ گر نہیں آتی

یا رب آباد کوئے یار رہے

کہ قیامت ادھر نہیں آتی

نیند کا کام گرچہ آنا ہے

میری آنکھوں میں پر نہیں آتی

بے طرح پڑتی ہے نظر ان کی

خیر دل کی نظر نہیں آتی

بے پری نے اڑا رکھا ہے مجھے

حسرت بال و پر نہیں آتی

سب کچھ آتا ہے تو نہیں آتا

گر وفا سیم بر نہیں آتی

اپنی اس آرزو کو کیا کوسوں

آب وہاں تیغ پر نہیں آتی

جان دینی تو ہم کو آتی ہے

دل کو تسکین اگر نہیں آتی

غیر کچھ مانگتا ہے دیکھیں تو

ہے تمہیں کس قدر نہیں آتی

دل کی اپنے جگر پہ لوں لیکن

ایک کی ایک پر نہیں آتی

دشمن اور اک نگہ میں لوٹ نہ جائے

چوٹ پوری مگر نہیں آتی

تیرا کوچہ ہے مصر نظارہ

کہ پلٹ کر نظر نہیں آتی

ان کا آنا تو ایک آنا ہے

موت بھی وقت پر نہیں آتی

انورؔ اس شب کی دیکھ لو تاخیر

صبح ہوتی نظر نہیں آتی

انور دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati

Anwar Dehlvi

hai bhi aur phir nazar nahin aati
dhyan mein wo kamar nahin aati

mangta hun magar nahin aati
ye ajal waqt par nahin aati

tere kushton ka roz-e-hashr hisab
ghairat o fitna-gar nahin aati

taba apni bhi ek aandhi hai
KHak uDani magar nahin aati

abr kis kis tarah barasta hai
sharm ai chashm-e-tar nahin aati

tum to yun mahw-e-zulm ho ki hamin
aah karni magar nahin aati

nazr kuchh kar ke dil ko le ki ye jins
muft ai muft-bar nahin aati

muKHtasar haal-e-dard-e-dil ye hai
maut ai chaaragar nahin aati

yarab aabaad ku-e-yar rahe
ki qayamat idhar nahin aati

nind ka kaam garche aana hai
meri aankhon mein par nahin aati

be-tarah paDti hai nazar un ki
KHair dil ki nazar nahin aati

be-pari ne uDa rakha hai mujhe
hasrat-e-baal-o-par nahin aati

sab kuchh aata hai tu nahin aata
gar wafa sim-bar nahin aati

apni is aarzu ko kya kosun
aab wahan tegh par nahin aati

jaan deni to hum ko aati hai
dil ko taskin agar nahin aati

ghair kuchh mangta hai dekhen to
hai tumhein kis qadar nahin aati

dil ki apne jigar pe lun lekin
ek ki ek par nahin aati

dushman aur ek nigah mein lauT na jae
choT puri magar nahin aati

tera kucha hai misr-e-nazara
ki palaT kar nazar nahin aati

un ka aana to ek aana hai
maut bhi waqt par nahin aati

'anwar' is shab ki dekh lo taKHir
subh hoti nazar nahin aati

(571) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati written by Anwar Dehlvi at UrduPoint. Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati is one of the masterpieces written by Anwar Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Anwar Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Dehlvi' above.

Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Bhi Aur Phir Nazar Nahin Aati, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.