Agar Hain Khaar-e-alam Aadmi Ke Daman Mein, Urdu Ghazal By Baldev Singh Hamdam

Agar Hain Khaar-e-alam Aadmi Ke Daman Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Baldev Singh Hamdam. Agar Hain Khaar-e-alam Aadmi Ke Daman Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Agar Hain Khaar-e-alam Aadmi Ke Daman Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اگر ہیں خار الم آدمی کے دامن میں

بلدیو سنگھ ہمدم

اگر ہیں خار الم آدمی کے دامن میں

خوشی کے پھول بھی تو ہیں اسی کے دامن میں

ہزار عیش سہی زندگی کے دامن میں

مگر ہے صبر کہاں آدمی کے دامن میں

اگر سکوں ہے تو ہے بندگی کے دامن میں

ملے گی منزل عرفاں اسی کے دامن میں

کسی کی یاد میں آنسو جو آنکھ سے ٹپکے

جواہرات ہیں یہ عاشقی کے دامن میں

کمال ضبط یہی ہے وقار عشق یہی

چھپی ہو آرزوئے دل خودی کے دامن میں

حدیث عشق و محبت کا ترجماں جو ہو

ادب کے پھول کھلے ہیں اسی کے دامن میں

بہ چشم غور جو دیکھو تو اور بھی کچھ ہے

فقط گناہ نہیں آدمی کے دامن میں

اجل ہزار بری چیز ہے مگر ہمدم

پناہ ملتی ہے آخر اسی کے دامن میں

بلدیو سنگھ ہمدم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Agar Hain Khaar-e-alam Aadmi Ke Daman Mein

Baldev Singh Hamdam

agar hain KHar-e-alam aadmi ke daman mein
KHushi ke phul bhi to hain usi ke daman mein

hazar aish sahi zindagi ke daman mein
magar hai sabr kahan aadmi ke daman mein

agar sukun hai to hai bandagi ke daman mein
milegi manzil-e-irfan usi ke daman mein

kisi ki yaad mein aansu jo aankh se Tapke
jawaharaat hain ye aashiqi ke daman mein

kamal-e-zabt yahi hai waqar-e-ishq yahi
chhupi ho aarzu-e-dil KHudi ke daman mein

hadis-e-ishq-o-mohabbat ka tarjuman jo ho
adab ke phul khile hain usi ke daman mein

ba-chashm-e-ghaur jo dekho to aur bhi kuchh hai
faqat gunah nahin aadmi ke daman mein

ajal hazar buri chiz hai magar hamdam
panah milti hai aaKHir usi ke daman mein

(992) ووٹ وصول ہوئے

You can read Agar Hain Khaar-e-alam Aadmi Ke Daman Mein written by Baldev Singh Hamdam at UrduPoint. Agar Hain Khaar-e-alam Aadmi Ke Daman Mein is one of the masterpieces written by Baldev Singh Hamdam. You can also find the complete poetry collection of Baldev Singh Hamdam by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Baldev Singh Hamdam' above.

Agar Hain Khaar-e-alam Aadmi Ke Daman Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Agar Hain Khaar-e-alam Aadmi Ke Daman Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.