Sham Ka Manzar, Urdu Nazam By Banne Miyan Jauhar

Sham Ka Manzar is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Banne Miyan Jauhar. Sham Ka Manzar comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Sham Ka Manzar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شام کا منظر

بنے میاں جوہر

شام ہوئی ہے سورج ڈوبا

رنگ زمانے کا ہے بدلا

شام سہانی دیکھو آئی

کیسا سہانا وقت ہے لائی

دل کو لبھا لیتا ہے کیسا

چین ہمیں دیتا ہے کیسا

شام کا اچھا اچھا منظر

دل کو لبھانے والا منظر

گھر کو چلا ہے کھیتی والا

محنت سے سب تن ہے کالا

بیل بھی چھوڑا ہل بھی چھوڑا

گھر کی جانب منہ کو موڑا

ہانکا وہ بیلوں کو اپنے

چلا وہ گھر کو دھیمے دھیمے

کھیت سے اپنے گھر کو سدھارا

لے گا اب آرام بچارا

بیلوں کو کھونٹوں سے باندھا

سامنے ان کے بھوسہ ڈالا

بیٹھا خود بچوں میں جا کر

کیسا خوش ہے اس کا گھر بھر

ادھر ادھر سے چڑیاں اڑ کر

آ بیٹھیں شاخوں کے اوپر

اب یہ شب بھر لیں گی بسیرا

صبح کو پھر کھیتوں کا پھیرا

جھیل کنارے آ کر بیٹھی

دم لینے کو ہر مرغابی

تم بھی بچو کھیلنا چھوڑو

اپنے اپنے گھر کو چل دو

سارا دن راحت سے گزرا

جوہرؔ شکر کرو خالق کا

بنے میاں جوہر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sham Ka Manzar

Banne Miyan Jauhar

sham hui hai suraj Duba
rang zamane ka hai badla
sham suhani dekho aai
kaisa suhana waqt hai lai
dil ko lubha leta hai kaisa
chain hamein deta hai kaisa
sham ka achchha achchha manzar
dil ko lubhane wala manzar
ghar ko chala hai kheti wala
mehnat se sab tan hai kala
bail bhi chhoDa hal bhi chhoDa
ghar ki jaanib munh ko moDa
hanka wo bailon ko apne
chala wo ghar ko dhime dhime
khet se apne ghar ko sidhaara
lega ab aaram bechaara
bailon ko khunTon se bandha
samne un ke bhusa Dala
baiTha KHud bachchon mein ja kar
kaisa KHush hai us ka ghar bhar
idhar udhar se chiDiyan uD kar
aa baiThin shaKHon ke upar
ab ye shab bhar lengi basera
subh ko phir kheton ka phera
jhil kinare aa kar baiThi
dam lene ko har murghabi
tum bhi bachcho khelna chhoDo
apne apne ghar ko chal do
sara din rahat se guzra
'jauhar' shukr karo KHaliq ka

(644) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sham Ka Manzar written by Banne Miyan Jauhar at UrduPoint. Sham Ka Manzar is one of the masterpieces written by Banne Miyan Jauhar. You can also find the complete poetry collection of Banne Miyan Jauhar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Banne Miyan Jauhar' above.

Sham Ka Manzar is a widely read Urdu Nazam. If you like Sham Ka Manzar, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.