Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum, Urdu Ghazal By Ghamgeen Dehlvi

Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ghamgeen Dehlvi. Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس کی صورت کا تصور دل میں جب لاتے ہیں ہم

غمگین دہلوی

اس کی صورت کا تصور دل میں جب لاتے ہیں ہم

خود بہ خود اپنے سے ہمدم آپ گھبراتے ہیں ہم

ہوش گر رہتا ہو تجھ کو ہم سے پوشیدہ نہ رکھ

جب وہ یاں آتا ہے اے دل تب کہاں جاتے ہیں ہم

بیٹھے بیٹھے کیوں یکایک ہائے دل کھویا گیا

ہمدم اس کا کچھ سبب ڈھونڈے نہیں پاتے ہیں ہم

خود بہ خود کل شب کو وہ بولے اٹھا منہ سے نقاب

جو نہ دیکھا ہو کسی نے مجھ کو، دکھلاتے ہیں ہم

بے سبب ہو کر خفا جب کچھ سناتا ہے وہ شوخ

جی ہی جی میں اپنے اوپر ہائے جھنجھلاتے ہیں ہم

شام کو ساقی کبھی آتا ہے گر تیرا خیال

صبح تک بھی ہوش میں اپنے نہیں آتے ہیں ہم

ہم نے غم کیا خاک کھایا غم نے ہم کو کھا لیا

لوگ اے ہمدم سمجھتے ہیں کہ غم کھاتے ہیں ہم

جام لے کر مجھ سے وہ کہتا ہے اپنے منہ کو پھیر

رو بہ رو یوں تیرے مے پینے سے شرماتے ہیں ہم

جو کلام عشق یہ ہرگز سمجھتا ہی نہیں

دل کو سو سو طرح غمگیںؔ ہائے سمجھاتے ہیں ہم

غمگین دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum

Ghamgeen Dehlvi

us ki surat ka tasawwur dil mein jab late hain hum
KHud-ba-KHud apne se hamdam aap ghabraate hain hum

hosh gar rahta ho tujh ko hum se poshida na rakh
jab wo yan aata hai ai dil tab kahan jate hain hum

baiThe baiThe kyun yakayak hae dil khoya gaya
hamdam is ka kuchh sabab DhunDe nahin pate hain hum

KHud-ba-KHud kal shab ko wo bole uTha munh se naqab
jo na dekha ho kisi ne mujh ko, dikhlate hain hum

be-sabab ho kar KHafa jab kuchh sunata hai wo shoKH
ji hi ji mein apne upar hae jhunjhlate hain hum

sham ko saqi kabhi aata hai gar tera KHayal
subh tak bhi hosh mein apne nahin aate hain hum

hum ne gham kya KHak khaya gham ne hum ko kha liya
log ai hamdam samajhte hain ki gham khate hain hum

jam le kar mujh se wo kahta hai apne munh ko pher
ru-ba-ru yun tere mai pine se sharmate hain hum

jo kalam-e-ishq ye hargiz samajhta hi nahin
dil ko sau sau tarah 'ghamgin' hae samjhate hain hum

(589) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum written by Ghamgeen Dehlvi at UrduPoint. Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum is one of the masterpieces written by Ghamgeen Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Ghamgeen Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ghamgeen Dehlvi' above.

Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Uski Surat Ka Tasawwur Dil Mein Jab Late Hain Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.