Ai Dil-e-be-qarar Dekh, Urdu Nazam By Jagan Nath Azad

Ai Dil-e-be-qarar Dekh is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Jagan Nath Azad. Ai Dil-e-be-qarar Dekh comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ai Dil-e-be-qarar Dekh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اے دل بے قرار دیکھ

جگن ناتھ آزاد

دامن لالہ زار میں

عالم پر بہار دیکھ

کلۂ کوہسار پر

جلوۂ زرنگار دیکھ

آب رواں کی بات کیا

خاک پہ ہے نکھار دیکھ

اے دل بے قرار دیکھ

دیکھ نشاط باغ میں

جلوۂ صبح کا سماں

کیف و نشاط ہے زمیں

نور و سرور آسماں

آہ یہ منظر جمیل

ہائے یہ جاں فزا سماں

اوج فلک سے ہے رواں

نور کا آبشار دیکھ

اے دل بے قرار دیکھ

دھار کے کشتیوں کا روپ

''ڈل'' پہ رواں ہے زندگی

چار طرف فضاؤں میں

عطر فشاں ہے زندگی

باد دزاں ہے زندگی

شعلہ بہ جاں ہے زندگی

چرخ تخیلات پر

کاہکشاں ہے زندگی

چہرہ بہ چہرہ رو بہ رو

حسن کا یہ نکھار دیکھ

اے دل بے قرار دیکھ

خواہ ''ولر'' کی جھیل ہے

خواہ فضائے پہل گام

ایک سے بڑھ کے ایک ہے

جو بھی نظر میں ہے مقام

دیکھ کہ ان فضاؤں میں

پھول شراب کے ہیں جام

گھاس ہے فرش مخملیں

ذرے ہیں آسماں مقام

اور نہیں تجھے نصیب

ایک بھی لمحے کا قیام

موج نسیم صبح سے

راز یہ آشکار دیکھ

اے دل بے قرار دیکھ

جگن ناتھ آزاد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ai Dil-e-be-qarar Dekh

Jagan Nath Azad

daman-e-lala-zar mein
aalam-e-pur-bahaar dekh
kalla-e-kohsar par
jalwa-e-zar-nigar dekh
aab-e-rawan ki baat kya
KHak pe hai nikhaar dekh
ai dil-e-be-qarar dekh

dekh nashat bagh mein
jalwa-e-subh ka saman
kaif o nashat hai zamin
nur o surur aasman
aah ye manzar-e-jamil
hae ye jaan-faza saman
auj-e-falak se hai rawan
nur ka aabshaar dekh
ai dil-e-be-qarar dekh

dhaar ke kashtiyon ka rup
dull pe rawan hai zindagi
chaar taraf fazaon mein
itr-fashan hai zindagi
baad-e-dazan hai zindagi
shola-ba-jaan hai zindagi
charKH-e-taKHaiyyulat par
kahkashan hai zindagi
chehra-ba-chehra ru-ba-ru
husn ka ye nikhaar dekh
ai dil-e-be-qarar dekh

KHwah wolar ki jhil hai
KHwah faza-e-pahl-gam
ek se baDh ke ek hai
jo bhi nazar mein hai maqam
dekh ki un fazaon mein
phul sharab ke hain jam
ghas hai farsh-e-maKHmalin
zarre hain aasman-maqam
aur nahin tujhe nasib
ek bhi lamhe ka qayam
mauj-e-nashim-e-subh se
raaz ye aashkar dekh
ai dil-e-be-qarar dekh

(573) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ai Dil-e-be-qarar Dekh written by Jagan Nath Azad at UrduPoint. Ai Dil-e-be-qarar Dekh is one of the masterpieces written by Jagan Nath Azad. You can also find the complete poetry collection of Jagan Nath Azad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jagan Nath Azad' above.

Ai Dil-e-be-qarar Dekh is a widely read Urdu Nazam. If you like Ai Dil-e-be-qarar Dekh, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.