Hum Ahl-e-zarf Hain Yun Hi KHafa Nahin Hote, Urdu Ghazal By Kavita Kiran

Hum Ahl-e-zarf Hain Yun Hi KHafa Nahin Hote is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kavita Kiran. Hum Ahl-e-zarf Hain Yun Hi KHafa Nahin Hote comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hum Ahl-e-zarf Hain Yun Hi KHafa Nahin Hote on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم اہل ظرف ہیں یوں ہی خفا نہیں ہوتے

کویتا کرن

ہم اہل ظرف ہیں یوں ہی خفا نہیں ہوتے

وفا شعار کبھی بے وفا نہیں ہوتے

کچھ ایسے آنسو بھی رہتے ہیں میری پلکوں پر

جدا تو ہوتے ہیں پھر بھی جدا نہیں ہوتے

جو زخم تم نے نوازے ہیں بے سبب ہم کو

کسی بھی درد کا وہ مسئلہ نہیں ہوتے

کہا یہ کس نے کہاں سے یہ سن کے آئے ہو

جو بے سہارا ہیں وہ آسرا نہیں ہوتے

ہر ایک گام پہ جو لڑکھڑائے رہتے ہیں

غبار راہ میں وہ راستہ نہیں ہوتے

چراغ تو ہیں مگر اتنے دھندلے دھندلے کیوں

کرنؔ تمہارے تو یہ نقش پا نہیں ہوتے

کویتا کرن

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hum Ahl-e-zarf Hain Yun Hi KHafa Nahin Hote

Kavita Kiran

hum ahl-e-zarf hain yun hi KHafa nahin hote
wafa-shiar kabhi bewafa nahin hote

kuchh aise aansu bhi rahte hain meri palkon par
juda to hote hain phir bhi juda nahin hote

jo zaKHm tum ne nawaze hain be-sabab hum ko
kisi bhi dard ka wo masala nahin hote

kaha ye kis ne kahan se ye sun ke aae ho
jo be-sahaara hain wo aasra nahin hote

har ek gam pe jo laDkhaDae rahte hain
ghubar-e-rah mein wo rasta nahin hote

charagh to hain magar itne dhundle dhundle kyun
'kiran' tumhaare to ye naqsh-e-pa nahin hote

(847) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hum Ahl-e-zarf Hain Yun Hi KHafa Nahin Hote written by Kavita Kiran at UrduPoint. Hum Ahl-e-zarf Hain Yun Hi KHafa Nahin Hote is one of the masterpieces written by Kavita Kiran. You can also find the complete poetry collection of Kavita Kiran by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kavita Kiran' above.

Hum Ahl-e-zarf Hain Yun Hi KHafa Nahin Hote is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hum Ahl-e-zarf Hain Yun Hi KHafa Nahin Hote, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.