Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain, Urdu Ghazal By Khwaja Mohammad Wazir

Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khwaja Mohammad Wazir. Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے غلط گر ترے دانتوں کو کہوں تارے ہیں

خواجہ محمد وزیر

ہے غلط گر ترے دانتوں کو کہوں تارے ہیں

کہ دہن مصحف‌ ناطق ہے یہ سیپارے ہیں

اپنی ہستی میں تو آثار‌ فنا سارے ہیں

شام کو ذرے ہیں اور صبح کو ہم تارے ہیں

کیا ہی ہرجائی حسینان جہاں سارے ہیں

یہ وہ اختر ہیں کہ ثابت نہیں سیارے ہیں

ذائقہ ہونٹوں کا بدلے گا نہ مسی ملیے

ہوں گی یہ قند سیہ اب تو شکر پارے ہیں

بادشاہوں کی طرح پھرتے ہیں ڈنکے دیتے

خار پا چوب ہیں اور آبلے نقارے ہیں

چھپ چلے ہیں خط شب رنگ سے رخسار صبیح

دن ہے کم شام کے آثار عیاں سارے ہیں

ساغر چشم کے سو دینے پڑیں گے بوسے

شیشۂ دل کبھی توڑا تو یہ کفارے ہیں

خط پہ خط روز بہا کر اسے پہنچاتے ہیں

اشک کاہے کو ہیں یہ ڈاک کے ہرکارے ہیں

آب جاری کیا اعجاز سے اے بہر کرم

انگلیاں کاہے کو ہیں نور کے فوارے ہیں

مصحف رخ کو وہ دکھلائیں اگر تیسوں دن

نئی پھبتی مجھے سوجھی کہوں سیپارے ہیں

ہاتھ اگر چھونے سے جل جائے ید بیضا ہو

لعل لب اس بت کافر کے وہ انگارے ہیں

رونگٹے کب ہیں ان آئینوں میں ہیں پڑ گئے بال

ہاتھ زانو پہ کبھی یار نے دے مارے ہیں

پشت پر ہے جو سپر خم ہوئے ہو تیغ کی طرح

چار پھول اس کے تمہیں پھولوں کے پشتارے ہیں

روبرو رہتی ہے تصویر تصور شب و روز

اب تو بے منت خلق آپ کے نظارے ہیں

دیکھ کر تجھ کو حسیں کٹتے ہیں بھولے ہیں بناؤ

کنگھیاں کرتے نہیں سر پہ رواں آرے ہیں

دل پہ جو گزری خبر اشکوں نے دی آ کے وزیرؔ

لائق خلعت رومال یہ ہرکارے ہیں

خواجہ محمد وزیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain

Khwaja Mohammad Wazir

hai ghalat gar tere danton ko kahun tare hain
ki dahan mushaf-e-natiq hai ye sipare hain

apni hasti mein to aasar-e-fana sare hain
sham ko zarre hain aur subh ko hum tare hain

kya hi harjai hasinan-e-jahan sare hain
ye wo aKHtar hain ki sabit nahin sayyare hain

zaiqa honTon ka badlega na missi maliye
hongi ye qand siyah ab to shakar-pare hain

baadshahon ki tarah phirte hain Danke dete
KHar-e-pa chob hain aur aable naqqare hain

chhup chale hain KHat-e-shab-rang se ruKHsar-e-sabih
din hai kam sham ke aasar ayan sare hain

saghar-e-chashm ke sau dene paDenge bose
shisha-e-dil kabhi toDa to ye kaffare hain

KHat pe KHat roz baha kar use pahunchate hain
ashk kahe ko hain ye Dak ke harkare hain

aab jari kiya eajaz se ai bahr-e-karam
ungliyan kahe ko hain nur ke fawware hain

mushaf-e-ruKH ko wo dikhlaen agar tison din
nai phabti mujhe sujhi kahun sipare hain

hath agar chhune se jal jae yad-e-baiza ho
lal-e-lab us but-e-kafir ke wo angare hain

raungTe kab hain in aainon mein hain paD gae baal
hath zanu pe kabhi yar ne de mare hain

pusht par hai jo sipar KHam hue ho tegh ki tarah
chaar phul us ke tumhein phulon ke pushtare hain

ru-ba-ru rahti hai taswir-e-tasawwur shab-o-roz
ab to be-minnat-e-KHalq aap ke nazzare hain

dekh kar tujh ko hasin kaTte hain bhule hain banaw
kanghiyan karte nahin sar pe rawan aare hain

dil pe jo guzri KHabar ashkon ne di aa ke 'wazir'
laeq-e-KHilat-e-rumal ye harkare hain

(434) ووٹ وصول ہوئے

You can read Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain written by Khwaja Mohammad Wazir at UrduPoint. Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain is one of the masterpieces written by Khwaja Mohammad Wazir. You can also find the complete poetry collection of Khwaja Mohammad Wazir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khwaja Mohammad Wazir' above.

Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Ghalat Gar Tere Danton Ko Kahun Tare Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.